PODCAST

Traffic Challans, FIRs & Karachi Children Manhole Incident

5 December 2025 36 min Haris Sajid Podcast

About This Episode

In the first episode of Muffled Minds Weekly Buzz, host Khawar Shahzad sits down with Hamza and his regular co-host Haris Sajid to talk about current affairs, starting with the Lahore traffic challans and the FIRs being filed for violations like one-way driving. They argue about whether the FIR is fair: the challans alone did not stop people, a 200-rupee fine means nothing to a chingchi driver who earns it back with four more passengers, and the public only gets agitated when the punishment finally bites, even though the net effect, they agree, is positive.

From there the conversation widens to why people break the rules at all: lack of education, a bad day, or the feeling that everyone else is doing it too, and to what would actually fix it, from public transport and signal-free roads to the example of Dubai, where wardens, heavy fines and points deduction make people follow the rules. They also talk about helmets, telling the story of a DSP who distributed 100 helmets after losing his 15-year-old son in a road accident, and about how children learn everything from watching their parents, even a father wiping his bike in the morning.

The second half turns to Karachi, where a three-year-old boy, Ibrahim, fell into an open manhole on a main road and his body was recovered only after 15 hours, and to the minister who told journalists to consider it his favour that he came to hold a press conference. The hosts recall Alamgir's FixIt campaign, which spray-painted Fix It on broken manholes and fixed roads itself, and close by reading viewer comments: the English-Urdu mix in their conversation, the Bakhshi Wazir confusion, and two chit-draw questions about when the nation will start thinking about change and how social media is used for opinion harvesting.

We discuss

  • Lahore traffic challans and FIRs for one-way violations
  • Why people break traffic rules, and what would actually fix it
  • Safe City cameras, helmets, and the DSP who gave away 100 helmets
  • Public transport, signal-free roads, and the Dubai comparison
  • The Karachi manhole incident: 3-year-old Ibrahim, 15 hours
  • The FixIt campaign and citizens fixing roads themselves
  • Viewer comments: the Urdu-English mix and Bakhshi Wazir
  • Chit-draw questions: change, and social media opinion harvesting

Key Takeaways

  • A 200-rupee challan does not stop a chingchi driver who earns it back with four more passengers; the FIR is what finally makes people notice.
  • People break signals for many reasons: no education, hormones running high, or simply a bad day, and no single punishment fixes all of them.
  • Wearing a helmet in your hand to avoid a challan is not protection; a DSP who lost his 15-year-old son gave away 100 helmets so others would not lose theirs.
  • Children learn from watching, not from being told: a father wiping his bike teaches his son to wipe his cycle without a word.
  • Ibrahim, three years old, fell into an open manhole on a main road in Karachi and his body was found only after 15 hours, further ahead in a big drain.
  • When the state does not fix a broken manhole, citizens can: the FixIt campaign spray-painted the fault and fixed the road itself.
  • Urdu and English are mixed because that is how people actually speak: in routine conversation Urdu is only 20 to 30 percent and English is 70 to 80 percent.
  • Social media can change a whole nations opinion: the Cambridge Analytica case showed even the most intelligent nation is not immune, and today it works 3x, 10x, 12x faster.

About The Guest

Haris Sajid
Co-host

Haris Sajid is the regular co-host of Muffled Minds. Host Khawar Shahzad introduces him in this episode as one of the think tanks behind Muffled Minds, alongside Hamza.

In this episode Haris discusses with Khawar the Lahore traffic challans and FIRs, the Safe City cameras, the tragic Karachi manhole incident, and replies to viewer comments from the previous episodes.

Full Transcript

This transcript was generated automatically with speech-to-text and lightly edited, so some words may be wrong, and passages that could not be made out are marked [unclear]. The first tab shows what is spoken in the video: Urdu written in Roman Urdu, with English kept as spoken. The English tab is a translation of the same transcript. The video is the authoritative version.

Read the full transcript

0:00 Chalo ji yaar salaam maaro yaar, yaar salaam maarne ki bhi nahin zaroorat hai, seedha beech badhte hain. Ham ne sach, hamne khelna tha. No, no, no, start karoon? Start, start karoon. Assalam-o-Alaikum everyone, welcome to Muffled Minds, Find Your Clarity. Bhai ye [unclear] nahin tha, clarity. Assalam-o-Alaikum everyone, welcome to Muffled Minds, Find Your Clarity, I'm your host Khawar. Tum seat pe ja ke baitha hua hai.

0:39 Isko khushi badi hai, bade dinon baad aaye hain, aap par ji bahut khushi hai. Tumhari seat ke neeche, main tere saath hi balki baitha hua, oe hoe. Yeh to is tarah lag raha hai ke yeh hamare paas aaye hain guest. Yeh bahut close hota hai. Koi baat nahin, hamari shaadi hui hai. Chalo aapas mein nahin hui. Aaj ham discuss karenge current affairs, maybe woh Lahore ke related ho sakte hain ya us ke ilaava bhi. To Hamza bhai, aajkal aapka kya khyaal hai jo challan ho rahe hain Lahore mein, specially? Is mein hansne wali kya baat hai?

1:22 Koi na, aage le ke aa. Main bata raha hoon. Nahin, koi, chalo nahin, tum log khelo ge baad mein yaar. Achha, mera ground, yeh chance hai ke sahi kar do, ho jao. No, dobara main karta hoon, ham start. Assalam-o-Alaikum everyone, welcome to Muffled Minds, Find Your Clarity, I'm your host Khawar, aur aaj mere saath hain the think tanks behind Muffled Minds, Hamza and Haris. Kaise hain aap? Theek thaak. Aap sunayein, Khawar bhai. Alhamdulillah, theek thaak. And we will talk about current affairs in today's episode. To Hamza bhai, aap ko kya lagta hai jo Lahore mein challan ho rahe hain?

2:09 Like kya, is it a good step? Yaar, good bada subjective hai. Depends ke aapka goal kya... I think ke for now sahi kar rahe hain, kyunki I think ke woh jo jo solutions ho sakte the, unhonne kar liye hain, ab ye bas ek aakhri, keh lo, ya severe kar diya unhonne. Abey jaldi bol, kal subah Panvel nikalna hai. In form of FIRs. To mere khyaal se sahi step hai, kyunki us ki chot zara zyada gehri hogi, aur next time aap socho ge bhi ke yaar nahin, FIR hai, us ka, FIR as such itna bura to nahin hai, par us ke peechhe jo peechhe process hota hai na, us se phir banda jo hai na, next time soche ga.

2:49 Itna bura to nahin hai, par us ke peechhe jo peechhe process hota hai na, us se phir banda jo hai na, next time soche ga. Agar FIRs ko dekhein to around five days, last five days mein 4000 FIRs jo hain na, woh register hui hain, aur un mein se around 3000 jo FIRs hain na, woh one-way ki violation pe hui hain. Haan, one-way kya, yaar aap bhi to drive karte ho, main bhi drive karta hoon. Even ke Gulberg bada main hai area, yahan pe bade phir bhi sophisticated ya well-off log driving karte hain, par yahan pe bhi hamein out of the way ya dekhne ko mil jaata hai. Even ke ye bhi nahin, ye bhi hota hai na ke gaadi achhi ho aur driver, woh bhi us ka bhi koi scene nahin hota. Gaadi jaisi marzi hai, driver ne bas apni aayi pe aayi karna hai usne.

3:29 To maine dekha hai, aur ye bhi nahin hai ke brake karke phir woh us cheez pe sharminda ya us cheez ko kahenge, yaar galat kiya. Nahin, bhai, kiya maine, yaar pakad lo mujhe. Aur aap ne notice kiya hoga, like pichle, main to keh raha hoon, ek do week se na traffic bahut zyada ho gayi hai. At least agar aap yahan pe main Gulberg pe enter hote ho na, Gulberg wale pe, to inteha traffic hoti hai. Like aap ko 15 minute to idhar se lag jaate hain aane mein. Aise hi hai, aise hi hai. To woh maybe shaadi season ki wajah se, shaadi season bhi hai, plus offices ki wajah se bhi hai, plus again wahi...

4:10 Lane jo hai, discipline ham follow nahin karte hain, aur jis ki wajah se I think mostly jo rush lagte hain na Lahore mein, woh lane discipline ki wajah se hain. Bikes wale idhar udhar ja rahe hain, rickshaw wale aa rahe hain, chingchi wale aa rahe hain, gaadi wale bhi. Even ke kal, MM Alam pe road ja raha main, aur do lanes hain, bas gaadi wala bhai woh side pe jo tough tile hoti nahin hai, us ke upar chadha ke ja raha hai, easy se daala hoga us ko, nahin, nahin, easy se daala nahin hai, jo bhi hai, woh ja raha hai, scene easy hai, aur upar se horn de raha hai logon ko ke bhai peechhe ho, yeh sahi raasta hai, apne mutabiq woh sahi ja raha hai, talented man. Aur aage ja ke phir woh jab roundabout pe pahuncha hai, to us ki wajah se phir saara traffic...

4:50 Haan, maybe it's one of the best ways. Aur secondly, agar is baat pe, topic pe baat kar hi rahe ho, to aap government level pe ya un ke jooton mein zara baitho na, to aap kya karo ge, batao zara, aur kya kar sakte ho? Har cheez, har cheez unhonne, 200 ka challan, 5000 ka challan, sab kuch kar liya hai, 10-10 challan hote hain, pay nahin kar raha koi, aur na hi ham follow kar rahe hain. Aur main batata hoon kya kar sakte hain, kya kar sakte hain. FIR karna solution nahin hai. Ab dekho na, aap kisi bande pe FIR kar... yaar ruk jao, ruk jao, FIR pe baat karte hain. Mujhe ye pehle batao, FIR ke peechhe maqsad kya hai? FIR ko is process ka part banana kya maqsad hai? Ye rules and regulations unhonne, nahin, implement karne hain na. Psychological kya peechhe reasoning hai, ke jo bande paise bharne se bhi baaz nahin aa rahe, aur in harkaton se bhi baaz...

5:31 Aur in harkaton se bhi baaz aa jayein, lekin woh in harkaton se bhi baaz nahin aa rahe, ye koi proper way nahin hai, baaz aa jao. Achha, baaz aaye hue hain, yaar dekho, is mein ye kiya ja sakta hai ke aap apne jo traffic ki hai, kya naam hai, force hai, us ko badhao. Maine bahut si jagah pe dekha hai ke wrong aa rahe hote hain, koi wahan pe khada hi nahin hota. Rickshaw wale wrong aa rahe hain, gaadi wale wrong aa rahe hain, koi wahan pe khada nahin hai. To qaum ka kis mein faida hai? Force zyada hogi aur woh follow karein, ya khud ba khud follow, seedhi line mein ho jayein, woh zyada achha hai. Lekin ye jo hamari qaum hai na, woh baaton se nahin, dande wali qaum hai hamari. To aapne jawab de diya na, phir danda, yeh ek item bhi solution nahin hai na, phir bhi, mera nahin khyaal ke itna strict ho ke karte honge, yahan poora long process, aapka record ban jaata hai.

6:15 Karte honge, yahan poora long, the process, aapka record ban jaata hai. Aisa nahin hai, hoga na, FIR ko nahin banta, yaar, itna easy, itna easily nahin hai, court tak jaana, woh bhi itna nahin hai. I think basically idea behind is ke bas is process ko jitna takleef deh bana sakte ho na, bana sakte ho na. Aapka matlab hai ke FIR ko woh bol rahe hain, lekin record mein nahin aayega, nahin aayega, bahut mushkil hai. Ya to aapne lad liya us ke saath, haan, ya to bahut bura us ke saath pesh aaye ho, phir to woh poora end tak chhod ke aayega. To record mein nahin aata na, nahin, yeh main, yeh pata nahin hai, mujhe pata nahin hai, main wahi keh raha hoon, possible nahin hai, agar to record mein nahin hota, then well and good, yaar, agar record mein bhi aata na, record mein bhi aata na, to if I'm breaking traffic rules, every other day, every other day...

6:54 Every other day, every other day, every other day, theek hai, aur main challan bhi nahin pay kar raha, jo bhi hai, aur mere pe FIR ho gayi hai na, to agar main rationally dekhoon na, behtareen, is ke ilaava aur koi solution hai? Aur phir, FIR ho kab rahi hai, wahi jab one-way ja rahe ho, one-way ja rahe ho, aur one-way se kitne aise hain, like agar aapne traffic jo, woh, chalo, for example, ishaara hai, woh padha hai aapne, phir nahin, FIR har ek pe nahin hai, FIR different hai. Haan, ye ho sakta hai. Lekin main keh raha hoon ke options aur hain, jo sab se pehle mere top of the mind option aata hai na, wahi aata hai ke agar to aisa kuch ho raha hai, aap gaadi band kar do.

7:33 Theek hai, aap us ko gaadi wapis do hi na. Rickshaw hai, auto rickshaw hai, bike hai, gaadi hai, aap wahin band kar do gaadi, FIR ki jagah, aur us ko kaho, bhai, aapne itna, 5000, 10000, jitna bhi aap badha sakte ho na, us ko aap itna pay kar sakte ho. Again, again, again, government ke mindset mein ja ke dekho, woh gaadi wala bilkul sahi hai, aapka point, par us mein government ki zyada hassle hogi, us ko dekhna gaadiyon ko, udhar kahan, kaun aa ke, yahan government kar rahe hain na, zyada hassle kyun nahin kar rahe? Yaar, woh lamba process hai, par aa ja ke phir chakkar hi lagwane hain na, us ke kachehri ke ya thaane ke. To FIR se kya ho raha hai, yaar, banda, haan, zaleel hoga na banda, o yaar, FIR se bhi nahin kuch ho raha, yaar, FIR kuch cheez nahin hai.

8:11 Sirf itna hai ke FIR ke baad na, woh banda government job kar sakta hai, na woh banda bahar ja sakta hai. Agar aap kehte ho ke FIR woh record mein nahin aayegi, then good hai. Agar woh record mein aa rahi hai, us bechare ka kya kasoor hai, woh sirf bechara to nahin kehna chahiye. Aaj hamare police ke saath kitne mamlaat hue hain, yaar? Koi paanch chhe to hue honge. FIR kitnon mein hui hai? Nahin hui. Agla sawal, mujhe apne ghar jaana hai, again, matlab, ghar jaana hai. Jo hai na, woh FIR, legal process bahut door ja ke hai. Yeh sirf darane ke liye, aur tu yeh soch ke news mein bhi ham dekh rahe hain, is wajah se kitne log dar ke follow karna shuru ho gaye hain. Achha, mera question hai, mera Haris se, koi, koi dar ke follow nahin? Main aaj bhi aaya hoon, main aaj bata sakta hoon, wahi wrong log ja rahe hain, waise hi, koi nahin, phir un ki, un ki FIR hogi na, next time woh nahin karenge, exactly.

8:51 Koi nahin, phir un ki FIR hogi na, next time woh nahin karenge, exactly. Haan, ye ab dekho, ab, ab ja rahe hain, jinhonne karna hai, woh abhi bhi kar rahe hain, jo abhi edge pe the, woh FIR ki wajah se ho gaye hain, seedhi line mein, jo nahin hue, FIR ki wajah se ho jayenge. Yeh jo neeche wala tabqa hai na, haan, yeh sirf un mein masla hai. Yeh middle class aur upper class, aap dekh lo, yaar, un mein thoda sa ek rebel ka keeda hai, banne ka keeda hai, to woh nahin sahi ho sakta. Jo marzi hukoomat un ko khud paise bhi dena shuru kar de na, follow karne ke, phir bhi koi na koi keeda nikaal lenge. To yeh itna itna micro level pe ja ke, aap sab se pehle aap yeh roads se auto rickshaw aur chingchi rickshaw band kar do na, woh Hasrat Murad sahab...

9:31 Sahab ne ek badi achhi scheme nikali thi, chingchi rickshaw ki jagah unhonne chaar-wheeler gaadi dene ki scheme nikali thi, aur government ke aage rakha bhi tha, is ka saara unhonne saari research karke government ke aage rakha tha, to lekin woh approve nahin hua. Agar woh approve ho jaata na, to yeh aapke chingchi rickshaw bhi khatam ho jaate, auto rickshaw bhi khatam ho jaate, aur aapki traffic bahut... Chingchi rickshaw aur auto rickshaw se masla kya hai, basic, yaar, chingchi rickshaw, auto rickshaw se masla yeh hai ke aap ja rahe ho na seedhe, aapko nahin pata, usne ekdam se cut lena hai, aur na us ko nuksaan hona hai, na koi us ke vehicle ko, aapke paas jo bhi hoga na, us ka beda garq ho jayega. Haan, to underlying, us ka masla yahi hai na, ke un ko proper education nahin hai, rules and regulations, license nahin hai, at the end of the day, haan, license to chhodo, license ki, woh kis tarah, rickshaw ki registration hai? Haan, us ki registration bhi nahin hai, registration hi nahin hai us ki. Yeh main, yeh main, yeh main maan raha hoon, main maanta hoon aapka point, aur main jaise Punjab government kaam kar rahi hai na...

10:27 Point, aur main jaise Punjab government kaam kar rahi hai na, jis speed se ho jayega. Haan, inshallah, mujhe lagta hai ke ho jayega, is pe bhi working ho jayegi. Agar ho jaye na, bahut pyaara ho jayega. Aur sab se pehle jo hamari awaam hai na, agar yeh thodi si behtar ho jaye na, teen line ki road hai, three lane hai us ke andar, aap us ke andar paanch lane kaise bana sakte ho? Yaar, koi nahin, yaar, 10 saal, 15 saal wait kar lo, ho jayega, sab kuch, us se 10 saal, 15 saal, genuine, abhi, abhi yahan pe ham bol bol ke thak jayenge, suna suna ke government bhi thak jayegi, yeh aise nahin aati, ekdam se nahin aati, generations lagti hain, ek qaum banne ko, to ho jayega, 10-15 saal, qaum to nahin banne wali hai, haan, nahin, ban jayegi, yaar, bahar kahin bhi chale jao, let's say ham Dubai ki example lete hain, to wahan pe aap ko koi...

11:05 Warden nazar aayega? Nahin aayega, kyunki unhonne dande maar maar ke seedhe kar diye hue hain saare, to yeh bhi maybe first step hai. Aur wahan pe agar tu FIR ki baat kar raha hai, ab tu chhod de, ab Dubai ki zara to aao na, zara sazaon pe. Wahan pe kitne kitne, ek to amount bahut zyada hai, secondly, aapke points deduct hote hain, aur lastly, phir un ki jo sazayein hain na, agar aapne, lastly, lastly, yeh nahin hai ke aapko ek banda dikha, aapne kaha, achha, wrong ja raha hai, lao bhai, FIR kar do, ho gayi. Nahin, yaar, woh, woh jo, jis taraf aap ishaara kar rahe ho na, woh hamara kasoor hai, woh un ka kasoor nahin hai. Hamne apne, apni aasani ke liye un ko offer kiya hai, aur un ko us cheez ki lat lagi hai, jis tarah bhi keh lo.

11:46 Initiate isi tarah hi hua ke koi nahin kehta, mujhe paise de do, main tumhein formal process se, yeh start hamne hi kiya aur hamari galti hai. Nahin, nahin, no doubt, hamne hi kiya hai. Haan, lekin woh bhi to raasta theek nahin hai. Ek banda galat ja raha hai, theek hai, aur aap kaho ke yaar yeh galat ja raha hai, achha, chalo, main bhi ja raha hoon, us ke peechhe aap bhi lagte ho, to yeh to galat hai na, yeh to insaani fitrat hai, insaani fitrat hai, to phir is ko to change karna hai. Yaar, insaani fitrat hai. Nahin, main nahin, aise aata jaata. Bhai, main aapko pata hai kya cheez galat hai. Aur waise bhi, aur waise bhi, main, main ek aur observation hai meri ke yeh jo, yeh signals follow nahin karte hain, traffic rules follow nahin karte hain. Ek to woh tabqa hai jo padhe likhe nahin hain.

12:25 Secondly, ek woh tabqa, jinke hormones zara abhi is time active hain. Aur thirdly, phir ek woh hai jo jinka din achha guzra nahin hai, theek hai? Aur yahan par tum jitni marzi education de loge, depending upon mood of that person on specific day, kuch bhi ho sakta hai. At the end of the day, sirf ham yeh kah sakte hain ke bhai, yeh achha kaam hai, kar lo, nahin karna, yeh tumhare pe hai, phir, aur us ka phir repercussion bhi, phir jo FIR hai na, mere khyaal se, rationally, agar tum bhi dekho, theek hai, yaar, main agar ek cheez kar raha hoon, out of the line ja ke, to us ki saza bhi honi chahiye, jaise woh Babar sahab ne kaha tha na, ke kya kaha tha Babar sahab ne? Kya kaha, abhi aapne baat nahin ki, woh way wali...

13:06 Way wali, out of the way, out of the way wali, woh Babar sahab ne badi achhi baat ki thi, woh mere mind se nikal gaya. Goli maar, kya aap wahan jate hain, kya wahan? Haan, nahin, yahan pe clip daal dena yaar. Haan, main Babar sahab ka clip daal doonga yahan pe, woh abhi abhi mere mind mein thi, woh aapne baat lambi kar di to mere mind se nikal gaya. Aap keh rahe the, question karna hai is se. Haan, nahin, mera question yahi tha na ke let's just say ke jo FIR hai na, woh one-way pe hai. Normal, aapne signal toda nahin hai, us pe, line aapne jo galat switch ki hai, us pe nahin hai, one-way pe hai. To aap one-way jao ge tabhi FIR hogi na, aap jao ge nahin to FIR hi nahin hogi. Woh jaahil qaum ko kaun bataye? Qaum batayegi? Woh FIR hi to batayegi. Yeh FIR ek ek qism ka notification hai. Jaahil qaum hai, us ko nahin pata, woh apna nuksaan kar rahi hoti hai. Nahin, yaar, hamari qaum jo hai na, TikTok use karti hai, un ko sab pata hai.

13:50 Wohi jaahil hai, jo TikTok use kar rahi hai. Hamara bhi account hai na, TikTok. O, nahin, jaahil thodi si jaahil hai, thodi si nahin hai. Nahin, nahin, nahin, main wahi keh raha hoon. TikTok jo hai na, no doubt, ye nuksaan bhi pata kar raha hai, faide bhi is tarah ke bade karega. Aap awareness, kyunki aap newspaper to koi padhta nahin hai, na abhi Geo channel dekhta hai, aap saare YouTube pe hote hain, ya TikTok pe hote hain, to TikTok pe reels jo ban rahi hai na, pahunch jaata hai. Yeh, traffic police ka apna account bhi hai, TikTok pe. Dekhein, main jo khilaaf hoon na FIR ke, woh is liye nahin hoon ke main woh harkatein karta hoon, jitna main, mujhe pata hai, aur mera Rab jaanta hai, main bilkul aap se agree kar raha hoon. Par main keh raha hoon, takleef bhi hai in logon se.

14:28 Us ka koi alternative bhi nahin hai. Ab aapne kuch arsa pehle dekha hoga, sirf unhonne one-way ke upar challan tha, just, lekin awaam baaz nahin aayi. Unhonne likh likh ke lagaya hai, jo side pe barriers hain, unhonne likh ke lagaya hai. Ab woh dekho na, one-way pe 5000 jo hai challan hua, lekin awaam nahin baaz aa rahi. Dekho na, abhi ham ek video dekh rahe the, woh chingchi rickshaw wale ka interview kar rahi thi, usne kaha, aap wrong way aa rahe ho, aapka challan hua hai. Usne kaha, hua, 200 rupe ka challan hua. Us bande ka, woh 200 rupe pe kahan baaz aayega? Haan, woh kahega, main agli chaar sawariyan bithaonga, mera 200 poora ho jayega. Chalo bhai, wrong jaate hain, aap yahan pe karo 2000, 5000 karo. Main dekhta hoon ke woh chingchi wala kaise aata hai. Abhi unhonne FIR ka elaan kiya hai, to awaam bhadak rahi hai.

15:06 Hai, bhadak rahi hai, bhadak rahi hai. Yaar, bhadakni... nahin, dekho, in the end hamein woh cheez dekhni chahiye, woh kis liye kiya gaya. Haan, aur secondly, debate, theek hai, woh honi chahiye. Tu apna zara soch ke dono batao na, net is ka positive effect hoga ke negative hoga? Yaar, positive bhi hoga aur negative bhi hoga. Nahin, net main poochh raha hoon yaar. Achha, net, haan, net positive. To bas, theek hai, chup karo. I mean, woh aaj main, I mean, woh aaj main ek DSP ke ek clip dekh raha tha, to us mein woh bata raha tha ke un ki prize distribution koi hui, wahan par ek bande ne 100 helmet jo hai woh distribute ki, us mein to us se poocha gaya ke tumne ye kyun kiya? Woh kehta hai, mera ek bacha tha, almost 15 ya 16 years ka tha, us ki aise hi death hui thi, usne helmet nahin pehna hua tha, road ke upar...

15:54 Us ki death ho gayi. To matlab, ek, koi for example bike wala ja raha hai, usne helmet nahin pehna hua, aur woh girta hai, apna to us ka nuksaan hota hai, to saath walon kitne ka nuksaan hota hai. Aur even ke yaar, mera question hai un bandon se jo helmet khareedte hain, ghar se uthate hain, bike nikaalte hue, bike pe baithte hain, aur phir yahan pe andar haath mein daal ke na chalana shuru kar dete hain. Mera un se ek question hai yaar, ke tum ye batao, kis ke liye pehente ho? Apni protection ke liye pehente ho, na ke sirf challan se bachne ke liye pehente ho. Agar to challan se bachne ke liye pehente ho, na hi pehno, phir le ke bhi na aao. Ye tum apni protection, sirf ye nahin samajh aati, apne aap ki kyun nahin protection tum kar rahe?

16:33 Apne aap ki kyun nahin protection tum kar rahe? Nahin, woh baal kharab ho jaate hain na hamare. To phir mere baal bache hi kahan hain? Woh aap ki... ab is baat se mujhe Babar sahab ki baat yaad aa gayi. Unhonne kaha tha ke aap un ke back of the mind ja ke dekho. Jaise aapne baat ki thi ke un ke back of the mind kya chal raha hai, jo jin ke din achha nahin guzra. To aap un ke back of the mind ja ke dekho ke un ka kya scenario hai, ke woh aisa kar kyun rahe hain. Ho sakta hai woh bechara subah se... bechara phir bhi nahin karna chahiye, galat kar raha hai. Jo subah se fucked up hai, woh chal rahi hai cheezein us ke saath, aur end pe aa ke woh phir aisi harkatein kar raha hai. To us ko pehle jo peechhe background hai, woh Babar sahab ne bada political answer diya tha, to peechhe wala sahi karo.

17:12 Peeche wala, yeh emotional management, haan, woh karo. Lekin us mein bhi ab aap, ab government agar is pe working kar rahi hai, ab government peeche ja ke us ka woh masle to nahin solve... government to woh dekhegi na, jo generalize zyada effective method kaun sa hai. Haan, kyunki woh bhi process kar sakte hain, ke... baith ke dekhein, diagnose kya scene hai, par woh bahut paise bhi, zyada resources, faida aur woh nahin hai, yeh Pakistan hai, baith ke dekh. Lekin, lekin us ke doosri side pe jo hai na, traffic aise to nahin sahi hogi. Matlab aap khud dekh lo ke din ba din traffic kitni badhti hai, us ka basic wajah, us ki peechhe aur hai na, ke hamari vehicles bahut zyada ho gayi, public transport nahin hai. Again, ham last episode mein, I guess, Babar sahab ke saath hi, us mein ham yeh discuss kar rahe the ke jo public transport na, woh honi chahiye, yeh...

17:56 Rickshaw, chingchi, in sab se jaan chhoot jayegi. Even ke main, let's just say ke agar main ghar se office aa raha hoon, office se ghar ja raha hoon, mera aur koi nahin idhar udhar, maine jaana to main public transport use kar deta hoon, agar woh mujhe convenient hai to. Sab se easy solution is ka yeh wala hai, no doubt. Woh theek hai, aap regulations ke liye challan waghera, inshallah, inshallah dekho, bade zyada manzoor ho rahe hain, yeh trains ke, woh nahin, lekin loan le ke nahin, actual us mein ke andar hone se, yaar aap ke paas hai hi nahin kuch to loan le ke hi karenge na, to yahi to problem hai na. Aur loan, yaar loan mein koi masla nahin hai, saari nations leti hain loan. Haan, lekin hamare plans is tarah ke hote hain na, ab woh nahin, woh again woh phir individual pe baat aa jaati hai, jo baith...

18:34 Again, woh phir individual pe baat aa jaati hai, jo baith, matlab kisi political party ko nahin le ke, waise, matlab hamara start se yahi raha hai. Aur bhai, jo cheez ho rahi ho na, main kehta hoon ke jo cheez ho rahi ho, us ko appreciate karna chahiye. Jo aapne traffic ki baat ki hai na, road ke upar bahut zyada gaadiyan ho gayi hain, yeh log daily basis pe working kar rahe hain is ke upar. Maine bahut si jagah pe dekha hai, jahan pe signals ke upar traffic zyada ho jaati thi na, unhonne signal-free woh karte ja rahe hain, aahista aahista har ek ek cheez signal-free karte ja rahe hain. Aur jo route, jahan pe, jis route pe traffic zyada hai, woh route ko thoda change kar rahe hain. Jaise ke Lahore ke andar Bekhwal Mor hai, us ke upar kaafi rush hota tha, unhonne woh ishaara band karke properly us ka ek way banaya. Ishaara... haan. To, haan, working kitni achhi hogi?

19:15 Ab, ab main, ab meri aa gaya recommendation hai, next government ko ke yeh jaywalking hai na, jo jo cross kar lete hain, us pe bhi challan bane. Haan. Us pe abhi aate hue, aur 100 meter ke upar na pedestrian bridge tha. Yes, aur awaam bilkul saath, bilkul us ke beech se jo hai woh... road. Yeh bahut zaroori hai, mainly government ne itna paisa laga ke woh bridge banaya, kis liye banaya, us ko use karo. Woh charsiyon ke liye banaya, upar charsi lage hote hain, theek hai, bane. Yaar, is mein agar tum wapis parvarish pe bhi aa jao na, bacha yeh maa-baap se bhi bada seekhta hai, aa ja ke baap kaise baat karta hai. Again, aap ki baat se woh mujhe baat yaad hai ke ek, I guess, ad thi, shayad woh, woh baap aur beta jo hain na, woh gaadi mein baithe hote hain, to baap, baap jo hai na, woh koi cheez khaata hai, woh rapper jo hai na, aise bahar phenk deta hai, to bacha us ko dekhta hai, next time bacha...

20:05 Bhi aise khol ke, aise bahar phenk deta hai. Phir next, unhonne iteration us ki dikhai ke baap ne koi cheez khaai, aur rapper jo hai na, apni gaadi mein rakha, taaki main baad mein jo hai, kahin place karoon ga. To woh, ye again, tu ye soch, tu ye soch, bache, bache kitne tez hote hain. Bilal ka yeh hai na, main apni bike subah aate hue na, sirf saaf karta hoon. Haan, mere se dekh ke usne apni cycle nikaal li hai, aur us ko kapda geela karke laga hua hai. Usne sirf dekh ke, maine us ko kuch nahin kaha hua hai. Yahan se itna seekhte hain, itna dekhte hain. Aur baaki parents ka bhi, I know, job badi mushkil hai, itni easy nahin hai. Haan, lekin again, woh aap apne actions se hi jo hai na, us ko sikhaate ho. Matlab, obviously, bol ke sikhana jo hai na, woh to kahin pe reh gaya. To chalo, agar, achha, next, agar ham ek baat karein, mujhe ek yaad aa gaya, woh Karachi mein jo...

20:46 Agar ham ek baat karein, mujhe ek yaad aa gaya, woh Karachi mein jo incident hua hai, recently, ek bacha jo, teen saal ka bacha, jo manhole mein jo hai, woh gaya, bada afsosnaak, pehle to, mujhe to abhi, haan, matlab us ki details bhi abhi recently hamne dekhi, to that was kind of shocking. Yes, ek to theek hai, aap ki apni care jo honi chahiye, jaise aap baat kar rahe the pehle, but again, aur main video woh dekh raha tha, to woh aisa nahin hai, koi remote area mein tha, woh main, main road ke upar bikes ki parking hai, aur us ke bilkul saath hai. Aap, yaar, Karachi, Karachi bahut bura haal hai, us pe to baat kar bhi nahin sakte ham, ham kis kis cheez pe baat karenge?

21:25 Aap jo aapka Karachi ka minister hai is time, woh main us ka press conference dekh raha tha, us mein ek sahafi poochh raha tha ke aap idhar to aa gaye hain, to woh jo bache ki death hui hai, aap wahan nahin gaye, aur us pe aapne kya, us pe action liya, aur kya, woh to woh aapka minister bhala kya keh raha hai, woh keh raha hai, dekhein main idhar to aa gaya hoon na, phir bhi, matlab ke itni dhitaai us bande ke andar, aur us ka mindset kya hoga, ke woh ek chhote bache ki death ho gayi hai, aur woh keh raha hai ke mera ehsaan jaano ke main yahan pe aa gaya hoon press conference karne. Aap us se kya expect karo ge ke woh kaam karega wahan par, aur kya hi kaam karega woh wahan par, banda.

22:06 To is bandon ko next time sochna chahiye na, ke apne vote jo bikte hain, jis tarah bhi hain, vote ki, vote ki yahan pe baat na kiya karein. Vote aap ke yahan pe kaun sa, chalo, agle paanch saal ke liye, agle das saal ke liye, to main baat kar sakta hoon na, yeh. Haan, bilkul kar sakte hain. Agle, haan, jab thoda, agle, unhi ka choose kiya hua banda na, aage, ya unhi ko yeh support karte hain na, saare. Ham to, at the end of the day, aapne hi choose kiya us bande ko. Achha, woh main video, bade log, achha, woh main video wahi dekh raha tha, to ab woh bacha gira manhole mein, theek hai, aas paas log jo hain, woh obviously, woh us time pe woh kya kar sakte the, lekin 1122 bhi aayi hai wahan par, aur jitne baaki bhi organizations thi, lekin woh rescue nahin kar sake bache ko, it took 15 hours, us ki dead body jo hai, woh recover ki hai.

22:52 Matlab, achha, matlab obviously, main us mein un ko nahin keh raha ke un ki galti hai, us mein un ke paas equipment hi nahin hai, woh ke woh aap darkness ke andar search karna, aapne obviously, yahan par koi light nahin hai, to un ke paas aisi equipment hi nahin hai. Yeh black swan event hai, woh na, main aap ko batata hoon, mere khyaal se, jo mera khyaal hai ke woh bada naala tha, main road ke upar naala tha, theek hai, woh bada naala tha, aur woh bacha beh gaya tha us ke andar, jo, I think, sarsari si maine koi Insta pe woh dekhi, beech mein woh bata rahe the ke woh beh gaya tha, is liye us ko dhoondne mein time laga, aur woh mila kahin aur se, wahan se nahin mila, woh kahin aage ja ke, aage ja ke kisi jo hai woh sweeper ne, jo hai woh chhota sa bacha tha, woh bhi usne us ki body jo hai woh recover ki hai.

23:29 Par, aap imagine nahin kar sakte, tang jaghon se to mujhe badi, waise, woh hota hai na, ek phobia, phobia. Haan, tang jaghon se, yaar, phir aap andaroon Lahore ka, mujhe to, mujhe to yeh cheezein soch ke, mujhe to bada ajeeb sa hota hai, kyunki mera apna beta hai, chhota, itna sa, do saal ka beta hai mera, to main to aisi cheezein dekh bhi nahin sakta, mera to bahut dil kharab hota hai, yaar. Obviously, is ka kya matlab kiya ja sakta hai? Sab se pehle to mujhe is se na, woh Fix It ek campaign, woh, I guess, yaad hai, I guess, Alamgir ki thi, woh Karachi mein hi usne yahi cheez start ki thi. Koi, for example, us ko manhole nazar aaya, woh kharab tha, usne us ke upar jo hai na, woh spray se likh diya ke Fix It. Is tarah karte karte, roads ke upar woh likh deta hai, Fix It. Phir usne apni team bana li. Phir woh team kya karti thi? Koi jagah kharab thi, team...

24:16 Contribution karke woh road sahi karte thi, and then woh post karte thi. I think maine ye dekhi hui hai video. Woh aaj bada achha, balke woh abhi bhi ek MLA raha hai, woh. Abhi recent, Alamgir, woh to abhi bhi us ki woh jo FixIt campaign hai, woh chal rahi hai, woh, aur us ke saath to kuch log aur bhi dekhe hain, maine Karachi ki hi woh post thi, aur woh log aise hi, do ladke the, us mein woh ikattha karte the samaan waghera, aur jahan pe unhe khadda dikhta tha na, road ke upar, main road ke upar, woh ja ke us ko sahi karte the. To yeh ek achha initiative hai, jahan pe aap keh rahe hain na ke cheezein galat ho rahi hain, wahan pe awaam kuch sahi bhi kar rahi hai. Cheezein har jagah hain, kahin upar hai, kahin...

24:55 Yes, aap ki baari hai. Meri kahan baari? Kya, kya uthaya mera? Maine aapka kuch nahin uthaya. Maine ye wapis rakh liya. Achha, achha, chalo, ham agar comments ki baat karein, hamari jo previous videos hain, un ke upar comments kaafi, kaafi achhe comments jo hain, woh aa rahe hain, aap logon ke, and really thankful for that. Thanks for watching, and basically sharing those videos. To woh sort of motivation hai, like, hamare liye, aur jo ham content banate hain, with our guest, to aap un ko appreciate karte hain. Thank you so much. To un mein se kuch comments the, jo ke main chahoon ga ke main is video ke andar, jo hai na, woh main padhoon. To obviously, ham un comments ko padhenge, jo ke jin ke upar discussion ho sake. Ek comment tha, hamari, I guess, recent ek video hai, last video, us ke upar tha, ke woh Naeem sir ke saath video thi, ham matlab discussion kar rahe the aapas mein, aur ham thodi English darmiyaan mein use kar rahe the, and then Urdu, sort of...

25:54 Thi, ham matlab discussion kar rahe the aapas mein, aur ham thodi English darmiyaan mein use kar rahe the, and then Urdu, sort of English-Urdu mix tha. Us ke upar ek bhai hai, Bitter Truth ke naam se, QSY QS4YU, ek ID hai, wahan se unhonne comment kiya, badqismati se, hamari, khud ko padha likha saabit karne ke liye, hamein Angrezi ka sahara lena padta hai. Doosri zubaan mein koi harj nahin, magar hamari shanakht Urdu, aur phir [unclear] zubaan honi chahiye. Matlab, bilkul aapne kaha, to bilkul theek hai. But again, ek woh hota hai na, ke normal conversation mein agar aap corporate level par dekh lein ya office level par dekh lein, jo conversation hoti hai, woh obviously mix of English aur Urdu hoti hai. To hamari jo podcast hai, yeh purely Urdu nahin hai, aur purely English mein nahin hai. To is liye, ham normal conversation mein jo language use karte hain, us mein mix up hota hai, Urdu ka aur English ka.

26:43 To aapka kya khyaal hai is baare mein? Bilkul sahi. In bhai se main kahoon ga ke agar aap yeh sochte hain na ke yeh just to show ke ham itne intelligent hain, ya waghera waghera, woh bhi ek theek hai, par us ke ilaava ek aur perspective yeh hai ke jab aap ki routine mein Urdu 20 to 30% bas ho, aur 70 to 80% English ho, to aapka ek time aata hai, phir aap thoughts jo hain na, zyada jaldi English mein bata sakte ho, rather than Urdu. Yes, woh jo main wajah, mujhe jo samajh aati hai, yeh nahin hai ke bas ji main yahan pe sab se smart banda hoon.

27:24 Nahin, nahin, agar aap Punjabiyon ke saath baithenge, yahan hamare saath Punjabi baithenge na, to ham Punjabi mein baat karenge. Yeh gathering ki bhi depend kar raha hota hai ke gathering kis qism ki hai. To baaki, yaar, woh aapne, woh aapne ek video dekhi hogi, jis mein woh ek customer jo hai na, woh call center pe call karta hai, customer care pe na call karta hai, kisi, I guess, Mobilink pe call karta hai, shayad. To woh us ko kehte hain ke Urdu ke liye ek dabayein, English ke liye do dabayein. Woh ek dabata hai, theek hai? To next, jo automatic machine hoti hai, woh us ko batati hai ke thank you so much for pressing one. Kehta hai, maine Urdu ke liye ek dabaya hai, to Urdu mein hi baat karo. To woh again baat wahi hogi ke yaar, obviously koi na koi sentence jo hai beech mein...

28:07 Urdu hamari pehchan hai. Yeh mujhe na bada woh myth lagti hai baat. Why? Kyunki aap apne routine mein dekho na, aap kitni cheezein Urdu mein use kar rahe ho. Mobile dekho, applications dekho, aapka jo social media hai dekho, aapke jo schooling system hai woh dekho, even ke aapke clock jo hai woh bhi English mein hai, Romans mein hai. To yahan to phir yeh seedha karo, saara baith ke, yahan pe jo hai na, apne aap ko yeh myth hai, yeh chhod do. Ke achha, yahi yahi bhai Bitter Truth ke naam se jo hai, woh ek aur comment karte hain ke yaar English jhaadne se kya kuch zyada asar chhoda jaata hai? Please apni qaumi zubaan ka istemaal karein. Asar to chhoda jaata hai, zyada, no doubt, aap English mein baat... aapne itna time nikaal ke comment kiya hai, aapne itna time nikaal ke comment kiya hai. English ne asar to chhoda hai, asar, asar to bahut door tak hai.

28:59 Kya naam inka? Bitter Truth, QSY QSY4U, QSY4U un ki ID. Achha, achha, ek aur bhai hai, Shaan Khan 677 ke naam se, un ka comment hai: Your English is very weak, you should learn if you want to use this language in public, Wazir Sahib, actually, grammatically, you are speaking incorrect, so please dot dot dot dot, hope you got. Aur yeh saara capitals mein likha hai unhonne. I mean, I don't know, double sawari pe, I know, but I don't know. Yaar, again baat yeh hai ke yahan pe koi ham point prove nahin kar rahe. Yaar, hamein English zyada aati hai, agar English zyada aati hoti to ham saari jo podcast hai, woh English mein kar jaate. Hamari jo audience hai, woh English speaking audience hi hoti. To again, woh conversation hai, jis tarah bhi aapne baat ki, is mein koi point prove karne wali baat nahin hai.

29:50 Jaise ek normal conversation ki, jo English plus Urdu ham keh rahe hote hain, to woh hi hai. Even ke, agar aap baat karein, aapne comment kiye, Shaan bhai, to aap ko Urdu jo hai, woh kitni aati hogi? Ya purely Urdu mein ek poora sentence ham bhi nahin bol sakenge, aur aap bhi nahin bol sakoge. Achha, aap ki baat bilkul theek hai. Haan, ham us ko nahin, woh nahin, us ko main bilkul galat nahin keh raha. Par jo context hai na, is poore baat karne ka, aur yahan tak pahunchne ka, bahut different hai. Jo qaumi zubaan wali na, hamari hukoomat ne ki hai, kaam, na hamare maa-baap ne, woh us ke peechhe kaam kiya hai. Saare maa-baap ka hota hai ke ji English medium school mein daalein, English medium, Urdu woh khud nahin bolte bache ke saath, shuru se hi English bolna... shuru kar dete hain. To yeh saari story, dekho na, peechhe, aur phir dekho, hisaab lagao.

30:32 Calculation karo, audience kaun si zyada hai. Secondly, phir dekho ke jo maine abhi aap ko bataya ke routine mein 30% bas Urdu banda bolta hai, to phir effect dekho na, us ka kya hoga aage. True. Aur ek bhai ka comment tha ke, I guess, last wali video pe tha, hamare, ke aap ki baaton se to yeh lag raha hai ke Bakhshi Wazir ek hi aadmi the. To hamne, matlab, is ke related research bhi ki thi, aur Naeem sir se bhi poocha tha. To is liye hamne, jo hamara start mein monologue tha, us mein hamne, un ki Bakhshi sahab ki bhi aur Wazir sahab ki bhi jo picture hai na, woh attach ki thi us mein. Haan, nahin, is ke upar detail aage baat hogi, inshallah, ek next video ham is ke upar karenge, aur us mein Bakhshi sahab aur Wazir sahab, un ki jo journey hai, us ke related jo hai, woh detail video jo hai, woh banayenge. But again,

31:19 Jo poori music industry hai, woh Bakhshi Wazir complete ek name ke respect se jaanti hai, to is liye hamein bhi poori video mein complete name jo hai, woh use karna pada tha. Aur us ke ilaava, baaki aap logon ke bhi kaafi achhe comments the. Jo Haji Rafiq sahab ki video thi, us ke around bhi, Haji Rafiq ke jo old, matlab, friends the, unhonne bhi us ke upar comments kiye hain ke Haji Rafiq sahab mere behtareen dost nahin, balke mere bhaiyon ki tarah the. So, thank you so much for that. To abhi tak to mere paas, ab, ab aaj twist aa gaya. Yeh ek ek parchi nikaalein, dono. O shit, yaar, is ko sab se pehle, bhai, nahin, maine de diya tha last time. Pakdo yeh.

32:02 Haan, paanch paanch minute mein. Question check karo, mere paas kya hai? Question check karo: When will the nation start to think about, then, think about change? Yeh lo. Paanch minute hai hamare paas, you know, is ka jawab Haris ke paas hoga, ke FIR jab khatam ho jayegi, aap nikaalo, yaar, itni der soch lena. Ab aapne, yaar, o, mera question hai: How social media is being used for opinion harvesting? Ho, yeh to bahut achha jawab de sakenge is ka. Haan, haan, paanch minute hai aapke paas. Nahin, sochna kya hai, is mein sochna kya hai, bhai, bhai, repeat kar de, ek dafa.

32:40 When will the nation start to think about change? Kabhi bhi nahin, Pakistan mein nahin ho sakta. Aap, aap soch rahe hain, yaar, 10% awaam ka sochna bhi, kya sochna? Chalo, aap answer de de, maybe, is ke baad ham comment karenge. Kaha ja sakta hai ke ek banda bhi soche to bada effect padta hai, do bande bhi soche to bada effect padta hai. Main kehta hoon, mujhe effect la ke dikhao. Theek hai, theek hai, I'm not judging. Theek hai, chalo. Achha, ab aapne comment karne hain is ke jawab.

33:20 Matlab, aapke paas jo valid is ka reason hai, ke change nahin ho sakta, ya change ho bhi sakta hai, to please do comment. Achha, mera question tha ke, how social media is being used for opinion harvesting? To, I guess, mujhe yaad aa gaya, yeh kis ka question ho sakta hai? Yeh, I guess, jo hamare teacher aaye the na, Shahid Bhatti sir, yeh unhonne, maybe, unhonne drop kiya hua question, to is ka answer unhonne hi, apne us mein, de diya tha, ke jab US ke election hue the, Obama, woh us time pe, halaan ke ChatGPT, AI kab tha wahan pe, aur social media bhi almost kya, na hone ke barabar tha, tab bhi social media ki wajah se jo hai na, woh awaam ka opinion jo hai, woh change ho gaya tha. To unhonne yeh quote kiya tha ke sab se intelligent qaum ham samajhte hain na, ke America, America, to un ka, un ka bhi opinion change kiya ja sakta hai.

34:10 Haan, Cambridge, Cambridge Analytica naam ka case hai, is ke upar badi documentaries bani hui hain. Facebook involved tha, is ke andar. Achha, unhonne example de ke samjhaya. Par ab to woh 3x, 10x, 12x ho gayi hui hai. TikTok, Instagram, kya, kya, yes, aur jo Snapchat ke halaat hain. Even ke mere saath khud hai, aapke saath bhi aisa hi hoga ke ek discussion ham kar rahe hain, ab thodi der baad aapke paas same usi context mein ek video aayi hai, to aapka opinion totally change ho sakta hai. Yes, ke woh batane wale pe, maybe aapke paas woh data points hi na hon, jo us ke paas data points hon, aur un ko connect karke aapko saara opinion jo hai... Yeh ads market mein do hi to, market, do hi to competitors hain, Google aur Meta, in ke paas jitna data hai, ek banda, ek bada data point... Aap bilkul, baat sahi hai. Ho sakta hai, ya aaj jaate hi meri...

34:59 FIR ho jaye, mera opinion bilkul hi change ho jaye. Main kahoon, good, nahin, is ka din nahin achha guzra hoga na, is liye wrong mein jayega, Allah na kare yaar. Chalein, thank you so much. Ji, kuch kehna chahenge? Nahin, nahin, nahin, kuch nahin, kuch nahin, kuch nahin, main pooch raha tha, is ko kab dekhenge dobara dobara? Yaar, inshallah, bohat jald. Ab maine in ko farigh [unclear], doston, main hi aaonga. Logon ne bada mujhe kaha hai ke yaar aap aaya karo. Nahin, dekhiye, woh last time jo hamne episode ki thi Naeem sir ke saath, us mein maine ek cheez quote ki thi na, ke jo ek song hai, woh sirf ek singer ki wajah se nahin milta.

35:38 Back of the stage, kitne log, kya baat hai, kya baat. To ek episode sirf mere ya guest ke baithne se ya record karne se nahin ho jaati hai, us mein Haris bhai ka bada role hai, peechhe aata hai, peechhe, back of the stage hi hota hai. Back, aap dekhein, yeh hota hai. To, thank you so much, Haris, for your contribution, and thank you so much, viewers, for staying with us, and inshallah, see you in next episode on coming Friday. Allah Hafiz, Allah Hafiz. Batao, kaun kaun dekhna chahte ho, mujhe, mujhe batao, apne comments, pehla, har ek, har kaamyab mard ke peechhe ek aurat ka haath hota hai. Ladki nahin, nahin, ladke, mard kehna, kuch ladki ne nahin kehna. Main shaadi shuda hoon, mera ek bacha hai, meri begum maar degi. Ladki nahin, no.

Frequently Asked Questions

Why are FIRs being filed for traffic violations in Lahore?

Because challans alone did not stop people. In the last five days before this episode, around 4,000 FIRs were filed, about 3,000 of them for one-way violations, and the hosts say a 200-rupee fine means nothing to a driver who earns it back with a few more passengers. They agree the FIR is harsh but its net effect is positive.

What happened in the Karachi manhole incident?

A three-year-old boy, Ibrahim, fell into an open manhole on a main road in Karachi. Rescue 1122 and other organisations searched for 15 hours, but his body was recovered only later, further ahead in a big drain, by a sweeper. The hosts also discuss the minister who told journalists to consider it his favour that he came to hold a press conference.

What is the FixIt campaign mentioned in the episode?

A campaign started in Karachi by Alamgir, who spray-painted Fix It on broken manholes and bad roads, then built a team that contributed together to fix the road and posted about it. The hosts say the campaign is still running and other young people in Karachi are doing the same with potholes.

Why do the hosts mix Urdu and English in the episode?

Because that is how they actually speak. In a normal conversation their Urdu is only 20 to 30 percent and English is 70 to 80 percent, so they express their thoughts faster in English. They are not trying to prove they are educated; the podcast is a normal conversation, not a purely Urdu or purely English one.

What is Weekly Buzz?

Weekly Buzz is a Muffled Minds series on current affairs, hosted by Khawar Shahzad with Hamza and Haris Sajid. This first episode covers the Lahore traffic challans and FIRs, the Karachi manhole incident, and replies to viewer comments from previous episodes.

Who is the guest in this episode?

There is no outside guest in this episode. It is a conversation between host Khawar Shahzad and his co-hosts Hamza and Haris Sajid, who Khawar introduces in the intro as the think tanks behind Muffled Minds.

Topics Discussed

What This Episode Covers

Find Your Clarity takes one big question and works through it. Here is what this conversation touches on.

Traffic Challans and FIRs Karachi Manhole Incident Road Safety and Helmets Public Transport and City Planning Social Media and Comments Urdu and English in Conversation
Keep Listening

More From Muffled Minds Podcast