PODCAST · EPISODE: 03

Masks of Everyday Life

17 September 2025 28 min Haris Sajid Podcast

About This Episode

In Episode 3 of Muffled Minds, host Khawar Shahzad sits down with his regular co-host Haris Sajid to talk about the masks of everyday life: why we wear them, whether they are good or bad, and where they lead us. They open with the difference between the corona mask and the real one we put on our face, and how most people walk around wearing a different mask in every gathering, while few people know how they originally are.

From there the conversation moves to why a mask is needed at all: so people cannot misuse you, but also because of insecurities and overthinking about what others will think. They disagree on whether it is a good thing: Khawar argues it helps you deal with different people and switch between your professional and personal life, while Haris says wearing it too long makes you forget who you really are, kills trust, and pushes you towards depression. In between they discuss the double face, the hero in one story and villain in another, bitching among friends, and hurting yourself to avoid hurting others.

The last part turns to the solution: realization comes first, then communicate directly with the person, do a self-analysis, and change step by step, because a river is made drop by drop. Khawar shares his own practice: writing his day down in a diary every night, looking at what he did wrong, and starring the mistakes that repeat, so the same thing does not happen again.

We discuss

  • Why we wear masks in everyday life
  • Is wearing a mask a good thing or a bad thing?
  • People with double faces: hero in one story, villain in another
  • Where the mask leads: losing yourself, trust and depression
  • Professional masking: switching between work and home
  • Hurting yourself to avoid hurting someone else
  • The solution: self-realization, communication and self-analysis
  • Writing a daily diary to track your mistakes

Key Takeaways

  • The mask is needed so people cannot misuse you, but insecurities and overthinking about what others will judge also create it.
  • Wearing a mask too long makes you forget who you really are, and your trust level in front of people gets finished.
  • You might be a hero in someone's story, but on the other side you can be a villain in someone else's story.
  • The solution to a double face is communication: if you feel someone is double-faced, tell him directly.
  • Realization comes first: self-realization is the most important step, and no one is perfect.
  • Communication is the biggest solution, in every podcast: with anyone, with parents, or inside a relationship.
  • Change step by step: a river is made drop by drop, and small daily efforts add up.
  • Write your day down: a diary shows your mistakes, and starring the ones that repeat keeps you honest.

About The Guest

Haris Sajid
Co-host

Haris Sajid is the regular co-host of Muffled Minds. Host Khawar Shahzad introduces him in this episode as being with him "hamesha ki tarah" (as always), and thanks him by name at the end of the episode.

In this episode Haris discusses the masks people wear in everyday life with Khawar: why we hide behind them, the difference between a social mask and a double face, professional masking, and the way out through self-realization, communication and daily self-analysis.

Full Transcript

This transcript was generated automatically with speech-to-text and lightly edited, so some words may be wrong, and passages that could not be made out are marked [unclear]. The first tab shows what is spoken in the video: Urdu written in Roman Urdu, with English kept as spoken. The English tab is a translation of the same transcript. The video is the authoritative version.

Read the full transcript

0:00 Is ki doosri side aa jati hai double face. Haan. Haan. Kis ke baare mein aap ka kya kehna hai? Multiple personalities. Haan. Achha, nahin, multiple personalities mein bhi woh bhi mask hai. Aap categorization kar sakte hain usmein na. Lekin main actually baat karna chaah raha hoon double face ke baare mein. You might be a hero in someone's story. Haan, but on the other side aap kisi aur ki story mein villain bhi ho sakte hain. Bilkul, bilkul, yaar, aap ne badi kamaal ki baat kar di. Jo mask hai, yeh insaan ko kis taraf leke jata hai? For example, is it good, bad aur neutral? Matlab kis tarah isko... Phir haan, phir woh mask aa jata hai ke aap ghut-ghut ke andar apne face pe ek mask laga lete ho, aur aap kehte ho, theek hai sir, woh apne liye, aapke liye galat hai, woh phir aapko woh depression ki taraf leke jayega. Woh kehte hain na, katre se dariya banta hai, to woh jo chhoti-chhoti efforts hoti hain na, to woh main usmein put kar raha hoon taake aage

0:43 jaake dariya ban sake. Find someone jisse aap discuss kar sako. Haan, woh communication wali baat ismein aati hai, communication kar sako. Assalamualaikum, welcome to Muffled Minds. My name is Khawar, aur hamare saath hamesha ki tarah hai Haris Sajid. Ji Haris, how is it going? Allah ka shukr. That's good. Hamara aaj ka topic hai Masks of Everyday Life. Haris, aap ka kya khyaal hai, like jo mask hai, har ek ke, for example,

1:24 us ke baare mein, like is it good or bad? Phir hum further iski detail mein jayenge. Khawar bhai, aap ne na starting mein aise-aise topic pakad liye hain ke uski na, aap keh lein ke varieties bahut zyada hain, isiliye to yeh topic kiya. Mask, agar aaj kal ki life mein dekhein, aaj kal ki society mein dekhein, to zyada tar log mask laga ke hi ghoom rahe hote hain. Aap kabhi bhi corona ki wajah se... Corona nahin, woh wala mask nahin. Ek hota hai woh corona wala mask, ek hota hai asal wala, jo bande ne apne face pe lagaya hota hai aur woh daily life leke chal raha hota hai. Matlab ke aap ismein yeh cheez bhi kar sakte hain ke different aap ki gatherings hain, different gatherings mein aapke different masks hain.

2:17 Aap originally kaise ho? Kam logon ko pata hota hai. Ab ismein do cheezein aa jati hain ke yeh achhi cheez hai ya buri cheez hai. Kahin-kahin achhi bhi hai, kahin-kahin buri bhi hai. Depend karta hai cheezon ke upar. Har cheez ke andar bhi, har cheez ke andar hum jo bhi discuss karte hain na, usmein mere khyaal se do hi pehlu hote hain. Ek achha pehlu aur ek bura pehlu. Woh aap insaan pe depend karta hai ke woh achhe pehlu ki taraf hai ya bure pehlu ki taraf. Yeh cheezein iske andar aa jati hain. Ab let's just say, agar hum baat karein ke why masks, like ek insaan ko zaroorat kyun pesh aati hai mask ki?

2:56 Agar normally dekha jaye na, to mask ki zaroorat isliye pesh aati hai taake log misuse na kar sakein aapka. Okay. Ek point hai yeh. Good point. Uske ilawa, aur agar mask mein ho jata hai insecurities bhi mask paida kar deti hain. Hum. Theek hai? Hum. Aur phir aapki overthinking bhi mask aapke face pe le aati hai. Aap overthink karte ho, agla kya sochega, agla kya judge karega, aur phir aap na har bande ke hisaab se, har bande ki personality ke hisaab se na apna ek mask bana lete ho ke achha, haan, is bande ke saamne maine aisa rehna hai. True, true. Achha, I believe ke jo mask hai na, for me, like it's a good thing, but again yeh debatable hai ke woh sahi hai ya nahin hai. But for me, maybe log jo hain, woh mask isliye use karte hain ke woh deal kar sakein different logon ke saath. Let's just say ke aapke different friends hain aur obviously har ek ki nature jo hai woh different hoti hai

3:50 aur interest bhi, aapke friends ke interest bhi jo hain woh different ho sakte hain. Interest in a sense ke daily routine mein cheezein hain, ya for example kisi bhi way mein aap usko le sakte ho. To aap mask is wajah se use karte ho ke aap is wale friend ke saath ek naye face ke saath milte ho, hum, aur aap is wale friend ko ek alag face se milte ho. Hum, hum. Theek hai? To I believe ke yeh ek achhi cheez bhi hai, for example, kyunki sometimes yeh hota hai ke for example har ek ki nature different hoti hai. To agar aap same nature se mil rahe ho, sakta hai, for example, aapki nature for example aggressive hai thodi si, aur ek aapka dost hai ke jo ke soft-hearted hai.

4:36 Aap uske saath aggressively jo hai woh cheezein leke chaloge to woh uske liye jo hai woh dangerous hai. To sometimes aap is wajah se bhi jo hai woh apna mask jo hai woh wear karte ho simply ke aap uske saath is way se jo hai woh deal kar sako, aur same usi tarah ke aap doosre person ke saath jo ke aggressively hai, aap uske saath comfortably, kyunki aap aggressive ho, next bhi aggressive hai, to aap comfortably communication jo hai for example kar sakte ho, aur woh aggressiveness ek achhi way mein for example ho sakti hai, na? To for me, I believe ke it's a good thing. Hamesha ki tarah aaj bhi main aap se ikhtilaaf karunga

5:19 kyunki aap ne mask laga liya na, to jo aapka, aapki original base hai, jo asal mein aap ho, hum, aap jab mask lagana start kar dete ho na, to phir aap asliyat mein jo cheez ho na, woh aap bhool jate ho. Hum, hum. Yeh aa gaya khud ke liye nuksaan. Hum, hum. Theek hai. Ab doosron ke liye nuksaan kaise hai? Hum, hum. Doosron ke liye nuksaan aise hai ke ek banda relationship se start kar lete hain. Theek hai, aapke lazmi nahin hai girlfriend boyfriend wala hi ho. Wife husband wala bhi hota hai, aur doston wale relationships bhi hote hain, aur parents wale bhi hote hain.

6:00 Ab yeh cheezein aap to yeh samajh rahe honge ke bahar ke circles mein log karte honge aisa, mask lagane wale. Kuch log hote hain jo ghar ke andar bhi mask laga ke ghoom rahe hote hain. Unke parents ko pata hi nahin hota hamara bachha hai kaisa, hum, hum, kyunki woh ek mask laga ke phir raha hota hai. Achha, sorry for cutting you out. Like, main jis point se baat kar raha tha, woh, I believe, thoda sa positive point tha, hum, is respect se ke aap jo jaisa hai, aap uske saath waisa treat kar rahe ho. Yeh wale main mask ki baat kar raha hoon. Nahin, kyun aap doosre ke baare mein soch kyun rahe ho? Sab se pehle to aap khud ke baare mein to soch lo. Hum, hum. Maine bahut se log dekhe hain aise jo ke na, aap jo baat kar rahe hain na ke woh jaisa hai, main uske hisaab se waisa chaloon, woh na apne saath apna beda garak kar lete hain.

6:44 Theek hai, phir unhein aadat ho jati hai, woh har uske andar, gathering ke andar different bandon ke saath na woh phir mask lagana shuru kar dete hain, aur phir na unhein khud bhi pata nahin chalta hai, aur agle bande ko bhi pata nahin chalta hai. Ek time par aakar pata chal jata hai doosre bande ko ke yaar yeh mere saath honest nahin hai. Achha, ab ismein do teen cheezein aa jati hain na. Ab let's just say ke aapke ek friend circle hai jo ke jinki nature hi different hai, woh aap keh sakte hain ke deep thoughts chal rahe hote hain. Agar aap unse milte ho, lekin aapki, for example, nature thodi si different type ki hai, ke aap itni cheezon ko serious nahin lete. Theek hai? Ek aapka friend circle hai jo ke aapki vibe, jiske saath match hoti hai, matlab nature match hoti hai.

7:30 Jaise vibe totally obviously ek different cheez aa jati hai. To agar aap jo aapki nature hai, aap usi nature ki respect se chal rahe ho, jo ke deep thoughts wale log hain. Haan, agar aapki thinking positive hai uske andar, to mere khyaal se yeh theek bhi hai. Aap jaise keh rahe hain na ke woh thode se deep thought wale dost hain, aur aap thoda cheezon ko serious nahin lete, to woh aapki bewakoofi hai na, aapko cheezein serious leni chaahiye. That's why, mask kyun lagana hai usmein? Aap khud ko theek karo na. Nahin, nahin, main, main sirf usi respect se mask kar raha hoon ke matlab ke main uske saath is way se mil raha hoon, us friend circle ke saath na, main is way se mil raha hoon ke main unki baat sun raha hoon. Theek hai, main contribute bhi kar raha hoon, discussion mein contribute bhi kar raha hoon. Main isi respect se baat kar raha hoon.

8:14 Achha, ismein na do cheezein aa jati hain. Ek to aap intentionally kar rahe ho. Haan, haan. Ek aa jati hai unintentionally kar rahe ho aap, matlab ke aapko pata nahin hai ke aap waisa kar rahe ho, lekin aap kar rahe ho. Aur ek aapko pata hoga ke haan, maine aisa karna hai, aur phir aap woh usko na us base pe leke na aap chal rahe hote ho usmein. Na, agar to aap is lihaaz se, aap khud ko theek karne ki lihaaz se kar rahe ho na, to phir to theek hai. Lekin aap sirf is lihaaz se kar rahe ho ke yaar agle ko bura na lag jaye, ya agla mere baare mein judgement wali situation na aa jaye, ya mera group circle na chala jaye. Maine karke dekhi hai cheez, kisi ko ghanta farak nahin padta. Haan, exactly, bilkul aapki baat theek hai. Agar agar aap positive way se dekh rahe ho na, to maine pehle hi kaha, starting mein woh positive hai, ek second negative hai.

9:02 Achha, iski doosri side aa jati hai double face wali. Haan, haan. Iske baare mein aap ka kya kehna hai? Multiple personalities. Haan. Achha, nahin, multiple personalities mein bhi woh bhi mask hai. Aap categorization kar sakte ho usmein na. Lekin main actually baat karna chaah raha hoon double face ke baare mein, jiske baare mein log kehte hain ke yaar yeh jaisa hai, jaisa yeh dikhta hai waisa yeh hai nahin. Matlab yeh upar se to is tarah banta hai, lekin andar se yeh bhai poori chhuri hai. Uske baare mein aap ka kya khyaal hai? Yaar, main kya khyaal ho sakta hai? Mera yahi khyaal hai ke yaar aise logon ko sudhar jana chaahiye, nahin karna chaahiye. Achha, ab main yahaan pe baith ke keh raha hoon ke sudhar jana chaahiye, nahin karna chaahiye. Ho sakta hai kahin-kahin log mujhe bhi aisa kehte hon. Haan, matlab ismein na iska solution mila kya hai? Solution yeh hai: communication.

9:51 Hum, hum. Agar aapko lag raha hai na kisi bande ka ke yaar yeh double face hai, ya usne mask lagaya hua hai, ya koi woh mere saath nahin hai, kya kahenge ismein? Original nahin hai. Haan, haan. Theek hai. To mere khyaal se aap communicate to karo na. Aur woh obviously aisa hi hai. You might be a hero in someone's story. Haan. But on the other side aap kisi aur ki story mein villain bhi ho sakte hain. Bilkul, bilkul, aap ne badi kamaal ki baat kar di. Mujhe koi aur yaad aa gaya. Kisi ne kaha tha mujhe ek dafa. Haan, aapko apni jo hai story yaad aa gayi. Haan, story yaad aa gayi. Kisi ne yeh status lagaya hua tha, shaayad aapne. Oh, dekha tha.

10:35 Achha, lekin kuch log isko bhi jo hai na woh apne favour mein jo hai woh use kar lete hain. For example, aap bure ho, lekin aap is phrase ko na, is sentence ko keh lein ya quotation keh lein, kuch bhi keh lein, isko apni favour mein sometimes use karna start kar dete ho. Haan, but in a broader perspective, agar usse dekha jaye to yes, that's true, ke kisi ki story mein aap bahut achhe ho, aur doosre ki story mein aapko ke yaar is jaisa to ghatiya shakhs to maine dekha hi nahin. Maine na, mujhe na chul badi hoti hai aisi cheezon mein na experiment karne ki, to maine experiments kiye hue hain, to ismein yeh cheezein aa jati hain.

11:14 Lekin aapko na main kehta hoon ke sab se pehle na realization honi zaroori hai. Beshak baad mein aaye, lekin aani zaroori hai. Agar to aap us dhoke mein rehte ho na, to mere khyaal se aap kisi aur ka nahin nuksaan kar rahe ho, aap apna khud nuksaan kar rahe ho. True, true, true. Aur hum baat kar rahe the double face ki. Haan, haan, ke jo nazar aata hai woh internally waisa nahin hai. Like woh aapke saamne kuch aur hai, theek hai? Aur jab kisi aur ke saamne jata hai to woh aapki buraiyaan kar raha hota hai. Doston wali baat kar lein. Yeh teen dost baithe hue hain, jab ek dost side pe hua, donon dost kar lag gaye uski bitching karne pe. Yeh to hai hi aisa hai, yeh aisa waisa, aur jab woh saath hota hai, yaar tere se achha dost hi koi nahin hai. Hain, bada maze. Achha, sometimes na, matlab doston mein yeh cheez jo hai normally chalti bhi hai. Theek hai.

11:57 Achha, sometimes na, matlab doston mein yeh cheez jo hai normally chalti bhi hai. Theek hai. Normally, haan, bahut zyada. To doston mein itni yeh jo hai na nuksaan-deh bhi nahin hai, I believe, lekin yeh nuksaan-deh zyada hoti hai jab aap kisi ke saath koi business kar rahe ho, ya aap apni family mein, for example, is tarah, matlab, mil rahe ho, ja rahe ho, to usmein yeh cheez, I believe, ke zyada hai, yeh danger hai. Ek baar phir se ikhtilaaf hota hua, buri hai. Haan, haan, doston ke andar bhi buri hai. Hum, hum. Ab doston ke andar is tarah se buri hai ke ek time tak to theek rehta hai, lekin jab thoda zyada time ho jata hai na, phir woh bitching badh jati hai, aur phir na aapko miss karana shuru kar dete hain, dost. To uske liye aap, main har cheez mein communication isliye laata hoon ke aapko kisi se koi masla hai, to main kehta hoon communicate karo, karo, kyunki ab main sirf baaton ke hisaab se nahin keh raha hoon...

12:50 main kuch baatein aisi bhi kehta hoon jo maine experience ki hoti hain, aur unmein se ek cheez yeh bhi hai. Maine nahin ki na, to abhi mujhe pachhtaava hai ke shaayad main communicate kar leta to cheezein behtar hoti. Haan, bilkul, aapki baat theek hai. But I believe ke, let's just say ke agar double face ki hum discussion ko continue karein, to for example aapka friend circle hai paanch-chhe logon ka, usmein do ki grouping hai na, agar for example do logon ki, to usmein yeh double face wala na bada matlab ke ajeeb scenario jo hai woh ban jata hai. Let's just say ke for example...

13:27 woh un do ki grouping hai, aur baaki jo hain woh saath baithe hue hain, to woh do unke saath jo hain woh mil gaye hain. Lekin kya hai ke jab woh baaki chale gaye hain, to woh do un sab ki jo hain woh buraiyaan kar rahe hain, for example. To yeh jo grouping wala hai na, I believe, yeh is tarah se hona nahin chaahiye, kyunki friends hain paanch, aur agar chhe koi friends hain, to woh saare ikatthe hi hain. Jo discussion ho rahi hai, haan, again, wahi baat, agar koi kisi ko kisi se masla hai, to communicate karein seedha. Theek hai? Aur again, matlab yeh jo abhi hum baat kar rahe hain, yeh general baat hai, ke hum kisi ko pin point waghera nahin kar rahe. Ek broader perspective se, hamare saath mein bhi hum kisi ko pin point nahin kar rahe. Exactly, kisi ko, jo bhi dost hain hamare, hum unko pin point nahin kar rahe. Aap theek ho?

14:09 Achha, chal, moving forward, jo mask hai, yeh insaan ko kis taraf leke jata hai? For example, is it a good, bad aur neutral? Matlab kis tarah isko categorize kar sakte hain? Mera jo khyaal hai, agar zyada tar dekha jaye na, iske andar yeh aapko negatively effect karega. Hmm, hum, kyunki main aapko bata raha hoon ke kuch time ke liye to theek hai, lekin jab aap usko continue kar lete ho na, poori life ke liye, aur phir aapka wahaan se nikalna bahut mushkil ho jata hai, aur phir log aapko different tareeqe se judge karna start kar dete hain, aur aapka jo trust level hota hai, kisi ke saamne khatm ho jata hai. Haan.

14:52 Achha, lekin doosri side pe sometimes yeh hota hai, for example, aapke business, aapki job ki nature jo hai woh thodi si different hai. Theek hai? Wahaan pe aapko different logon se deal karna padta hai. For example, agar hum baat kar lein marketing ki. Theek hai? Usmein aapko different way se jo hai na, logon ke saath jo hai woh deal karna padta hai. Lekin for example, wahi ek person ghar aata hai, apne relatives mein baithta hai, apni family mein baithta hai. Theek hai? To usko thoda sa apne aap ko jo hai na woh switch karna padta hai. Theek hai? To yeh bhi ek tarah ki masking hi hai na, ke for example, aap udhar jo hai woh, bilkul, obviously aap udhar professional ho, jahaan pe aap apni normal, aapki life hai, daily routine hai aapki. Theek hai?

15:35 To is waise jo hai woh, I believe ke yeh ek achhi cheez hai. Aapko apne aap ko switch karna chaahiye. Yeh achhi hai. Pehle aapne jo humne baat ki hai na, woh social mask pe aur personal mask pe ki hai. Haan. Theek hai. Ab aapne baat start ki hai professional mask ki. Hum, woh usmein professionalism mein mere khyaal se zaroori hota hai, kyunki wahaan pe aapne different bandon ko deal karna hai, aur apni company ke liye aapne, aap keh lein ke, company ko leke chalna hai, apni ko represent karna hai. Hum, represent. Theek hai? Ab ismein bhi, ab agar aap blunders maaroge to woh aapke liye nuksaan-deh, aur agar to aap usko... hote hain na, kuch points hote hain jahaan pe aapko yeh cheez mask use karna padta hai, aur kuch points hote hain jahaan pe nahin

16:34 karna padta. To aapko woh differentiate karna zaroori hai ke humne apni professional life ke andar kaun se aise points hain jahaan pe is mask ko use karna zaroori hai, aur kaun se aise points hain jahaan pe zaroori nahin hai. Yeh har professional, har bande ke liye, uski life ke jitni professional life hai, uski usmein vary karega. Uske hisaab se yeh cheezein khud sochni padengi usko. True, true, true. Achha, yeh matlab humne yeh baat kar li ke kahaan pe mask jo hai woh helpful sabit ho sakta hai. For example, jaise professional life mein ho gaya. Haan. But again, baaki saari jagah pe jo mask hai, woh phir achhi cheez nahin hai. Like woh ek doglapan, doglapan rahega. Aapko kya zaroorat hai mask lagane ki? Aap apni jo original, aapki form hai, aap usmein raho. Aapke saath agar kisi ko masla hai, woh baat karega. Aap usko uska solution nikaalo. Agar koi baat hi nahin karta to faida kya? True.

17:20 Achha, sometimes yeh hota hai ke for example aap kisi ko hurt nahin karna chahte. For example, jaise I believe, hum pehle bhi baat kar rahe the pichli episodes mein ke aap apne aap ko hurt kar lete ho, lekin next person ko nahin hurt karte. Woh kisi bhi respect se ho sakta hai. Theek hai? To usmein woh bhi ek mask type bhi ho gaya na, ke for example aap kisi ne aapko kuch kaha, theek hai, aur aapne usko waise hi ignore kiya, aur aapne usko kaha ke okay, koi masla nahin mujhe, lekin deep inside aap us cheez se hurt hue ho, lekin aap apparently aap usko show yeh karte ho ke aapko matlab kuch nahin hua.

18:02 Is waise agar hum baat karein to yeh bhi ek tarah ka mask hi hai na? Nahin, yeh mask ke andar nahin aayega. Agar aapki baat se thoda sa main isko thoda sa enhance kar deta hoon ke aap kisi ko treat kar rahe ho different tareeqe se, hum. Theek hai, aur aap uske saath jo aapki communication hai, aap us lihaaz se rakh rahe ho. Ab ismein do cheezein aa jati hain. Ya to aapko pata hai ke ek bande ke liye cheez theek nahin hai. Hum, hum. Theek hai? Aur aap usko us wahaan se nikaalna chaah rahe ho. Hum. Usko wahaan se nikaalne ke liye aapne usko keh ke dekh liya, communication karke dekh liya, nahin ho raha, aap chaah rahe ho ke experiment ke through aap aao, woh zaroori aa gayi hai, ek peak point pe aake aapko samajh aa jati hai ke yaar yeh experiment zaroori hai mere liye bhi aur agle bande ke liye bhi. Agar agar aap is sense ke through kar rahe ho na...

18:52 mask laga rahe ho, agle bande ko thoda sa realization ki taraf leke aa rahe ho, bande ko. Haan, phir theek hai. Hum, hum. Mere khyaal se phir theek hai, kyunki aapne har option try kar li, solve nahin ho rahi. Main kehta hoon, experiment wala jo option hota hai na, woh sab se end pe hota hai. Hum, hum. Experiment, phir agar aap option mein aa rahe ho na, aur aap usko experiment ke through usko realize karana chaah rahe ho, to phir theek hai. Aur agar aap kisi ko nuksaan pahunchaana chaah rahe ho, jaise ke relationships mein zyada tar hota hai, hum, to that's not fair. Haan. Achha, sometimes yeh bhi hota hai na ke aap ek scene create nahin karna chahte. Theek hai? Koi aapke saath bura hai. To again, aap us situation pe kehte ho ke yaar kya scene create karna hai? Aap already fed up ho, multiple cheezon mein, matlab ke gusse

19:40 hue ho, for example, to aap woh scene create nahin karna chahte. Aap kehte ho, yaar, chalo yaar, is cheez ko ignore karo. Isse mask ka kya lena dena? But nahin, mask, matlab main in a sense yeh baat keh raha hoon ke for example, koi aapke saath bura kar raha hai na, to aap woh scene create nahin karna chahte. Aap ek apna positive face hi saamne rakh rahe ho. Aap usko woh nahin show kar rahe ke yaar it hurts. Basically, is waise main woh mask wali baat kar raha hoon. Haan, us lihaaz se kaha ja sakta hai, kyunki aap, yeh bhi ek, yeh bhi ek aapka positive gesture hai, jo aap dikha rahe ho agle ko. Yeh achhi cheez hai, buri cheez nahin hai, lekin iska yeh matlab nahin hai ke aap baad mein bhi usse baat karo hi nahin. Haan, lekin in the end yeh aapke liye nuksaan-deh hai na...

20:20 Haan, lekin woh tab nuksaan-deh, jab aap chhod do usko uske haal pe, kyunki woh phir dobara aapko hurt karta rahega, na? True, true. To aapko, haan, aapko woh lag raha hai ke yaar yeh time aisa nahin hai jahaan pe baat ki ja sake, ya yeh jagah aisi nahin hai jahaan pe baat ki ja sake, to phir aap usmein kar lete ho ke haan, aap khamosh ho jate ho, ke yaar baad mein jab yeh is time se guzar jayega ya is jagah se hum hatte hain, to phir baat kar lenge. Zaroorat kya hai usko... True, true, true, true. Lekin lamba leke chaloge use to woh phir masla to create karegi na. Agle bande ko aadat ho jayegi aapke saath waise rehne ki, aur aap phir ghut-te rahoge andar. Phir haan, phir woh mask aa jata hai ke aap ghut-ghut ke andar apne face pe ek mask laga lete ho, aur aap kehte ho, theek hai sir,

21:08 woh apne liye, aapke liye galat hai, woh phir aapko woh ek depression ki taraf leke jayega, jo aage, in the end, phir aapko ek balance create karna hai, haan, haan, ke kahaan pe aapne jo hai woh mask jo hai woh wear karna hai, woh multiple, jaise abhi humne discuss kiya, woh kaafi uske categorize ho sakti hain, ji. Haan, ismein hum, humne hum jo topics utha rahe hain na, ismein iska jo hai na circle, pata nahin, word mere zehen mein nahin aa raha, sahi, bahut bada hai, yeh bahut badi ek hai, jismein baat karne ki zaroorat hai cheezon ke upar, bahut si cheezon ke upar, saari to nahin cover kar payenge hum, lekin jitni ho pa rahi hai, hum usmein kar rahe hain. True, true.

21:48 Achha, chal, ab iske solution ki taraf aate hain. For example, ek person hai jo ke is tarah ka hai. Theek hai? Jo ke yeh double personality hai, uski double face hai, for example, uska, to uska kya solution ho sakta hai? For example, sometimes yeh bhi hota hai ke usko bhi nahin khud pata lag raha hota ke achha, main kar kya raha hoon. Hum, hum. To aapke mind mein kya hai? Like uska kya solution ho sakta hai? Pehli baat to aapne kaha na, pata nahin chal raha hota. Hum, pata nahin chal raha ho na, koi na koi aapko bata deta hai. But it depends, obviously, jis tarah abhi humne baat ki, agla aapka achha chaah raha ho na, to woh bata deta hai. Haan, lekin main woh keh raha hoon na ke aap agle ke liye bura kar rahe ho, jaise maine baat ki, ke aap agle ke liye bura kar rahe ho agar aap agle ko nahin bata rahe, hum.

22:30 Ke yaar, yeh tumhara kaam, yeh jo cheez tum kar rahe ho, woh theek nahin hai. Agle ko batao. Ismein solution mein sab se pehle realization hai, ke aapko pata hona chaahiye ke aap yeh cheez ho rahi hai aapke saath. Aapko koi bata raha hai to usko karo positively lo, ke haan, agar koi bata raha hai, us par socho. Theek hai? Self-realization bahut zaroori hai insaan ke liye. Koi perfect nahin hota. Aap, main, koi bhi perfect nahin hai. Lekin agar aap thodi cheezon ko dekho, to mere khyaal se life aapki asaan ho sakti hai. Haan. Usmein phir uske ilawa, agar aap dekho, to jo sab se badi cheez aa jati hai, jo main har podcast mein bolta hoon: communication. Communication, communication, communication bahut zaroori hai. Kisi bande ke saath hai, parents ke saath hai, ya aapke relationship ke andar hai. Communicate karo.

23:10 Communication bahut zaroori hai. Kisi bande ke saath hai, parents ke saath hai, ya aapke relationship ke andar hai. Communicate karo. Hum, hum. Aapko agar, aapko, aap jis tarah ke ho, aap waise nahin reh pa rahe kisi ke saamne, aapko pretend karna pad raha hai, to aap usse communicate karo, usse baat karo. Agar woh nahin samajhta, to mere khyaal se phir aapka saath rehna behtar nahin hai uske andar. True. Achha, bilkul, yeh pretend wali jo cheez hai na, yeh bilkul bhi sahi nahin hai. Matlab for short period of time, ya aap keh sakte ho ke achha, chalo, theek hai. But for a long period, yeh bahut dangerous hai. Meri life ke andar yeh cheez abhi chal rahi hai, pretend wali. Theek hai? Lekin aisa nahin hai ke main uspe working nahin kar raha. Main abhi bhi working kar raha hoon. How you are coping with it? Kaise aap isko resolve karne ki at least try kar rahe hain?

23:59 Apna lifestyle change karke, apna jo, aap, maine jo self-realization wali baat ki hai, usko change karke. Pehle bahut si galtiyaan thi mere andar, bahut se flaws the, jinki wajah se bada nuksaan bhi uthaya maine. Hum, hum. Unko main change kar raha hoon, aur uske ilawa daily basis pe main thodi-thodi, woh kehte hain na, katre katre se dariya banta hai, to woh jo chhoti-chhoti efforts hoti hain na, to woh main usmein put kar raha hoon, taake aage jaake woh dariya ban sake. True, true, true. Ek dum se karunga na? Haan, nahin, nahin, woh to nahin ho payega. To isliye thoda-thoda karke kar raha hoon, taake main usko, uski taraf ja sakoon. Step by step, bilkul, har cheez, har cheez mein yeh rule jo hai woh...

24:42 Aur woh main, kyunki main nahin chaahta ke agla banda bhi hurt ho. Hum, hum, hum, hum. To uske liye bahut zaroori hai. Aur sab se badi cheez, maine communicate kiya hua hai. Hum, hum. Maine agle bande ko bataya hua hai ke mere saath yeh masla hai. Hum, hum. Main usko solve kar raha hoon. Kitna time lagega, I don't know, lekin effort put kar raha hoon, thodi-thodi effort put kar raha hoon, lekin kar raha hoon. Achha, solutions mein humne pehli baat ki self-analysis ki. Theek hai? Jo ke sab se important cheez hai. Bahut, matlab, aap woh har ek cheez mein, lazmi nahin hai yeh mask wali cheez mein hai, woh even ke har cheez mein jo hai woh apply hota hai, ke aap apna self-analysis karte raho, time by time. Time, time ke, achha, aap ne kya kiya, kyunki I believe ke aapka aane wala kal, aapke guzre hue kal se achha hona chaahiye. Bilkul, bilkul. Uske liye aap efforts karte ho, aur un efforts mein yeh jo self-analysis hai, yeh sab se important cheez...

25:30 ke matlab, no one is perfect, har ek se galtiyaan hoti hain. But again, jab woh insaan self-analysis karta hai apna, usko pata lag jati hai. Achha, yaar, is jagah pe maine sahi nahin kiya. Hum. Is jagah pe maine try ki sahi karne ki, but I might have done better. Bilkul, bilkul. Theek hai, yeh aa sakti hai usmein, first point, aur second point ke, find someone jisse aap discuss kar sako. Communication kar sako. Aur na, ismein ek cheez aur bhi hai, jo ke maine recently ek cheez dhoondhi hai, apni daily life ko na write down karna.

26:11 Apni daily life ko na write down karna. Hum, hum. Diary likhte hain. Diary likhte hain. Haan, diary waqai likhte hain. Haan, main daily na diary likhta hoon ke aaj kya-kya hua. Haan. Phir main usmein dekhta hoon kya-kya galtiyaan thi, aur kya-kya theek kar sakta hoon main. Yeh cheezein mujhe abhi recently pata chali ke yeh book wala kaam, kitna good thing, haan, zaroori hai, aur maine us pe kiya bhi hai, aur us pe mujhe thoda sa, aap keh lein ke effect nazar aa bhi raha hai, kyunki main daily basis pe phir woh cheezein theek kar raha hota hoon jo main galat karta hoon, na. Main, main chhoti-chhoti cheezein dekhta hoon ke agar maine koi baat ki hai kisi se, usi waqt pata chal jata hai mujhe ke agar maine kisi se koi baat ki hai na, agle ko hurt kar sakti hai, to woh mujhe pata chal jati hai, to phir main usko write down kar leta hoon ke yeh reaction tha, ya yeh

27:03 baat thi jo ke nahin karni chaahiye thi mujhe, aur usmein phir yeh hota hai ke main next time koshish karta hoon ke woh cheez na ho. Main repeatedly likhta rehta hoon. Agar dobara hoti hai na, main phir usko star kar deta hoon ke dobara hui hai cheez. Haan, nahin, yeh bahut achhi cheez hai, jab aap koi cheez likhte ho, theek hai, to woh double, for example, pehle aap sochte ho us cheez ko, phir aap likhte ho, likh ke phir aap usko padhte ho, to yeh three step process jo hai woh ho gaya, ke ek hi cheez teen dafa aap kar rahe ho, to woh phir pata lag jata hai aapko wahin pe, improve hone wali hai, improve nahin hone wali. So, thank you so much, Haris. Welcome, welcome. Thank you so much, viewers. Do let us know, like, aap ke kya khyalaat hain is baare mein, mask ke baare mein, ke log kis tarah, kis tarah ke mask jo hain woh wear karte hain, aur aap kya samajhte hain, like, is it a good thing or bad

27:53 thing, or good or bad, it depends on situation. Please do let us know in comments. Thank you for watching. See you in the next episode. Aur ek cheez aur bhi add karna chaahunga. Aap logon ki humein sab se zyada zaroorat hai, kyunki aap ikhtilaaf karenge humse, to hum isko continue kar payenge. Matlab, again, wahi cheez hai ke we are not perfect, no one is perfect. Jo hum discussion kar rahe hain, woh hum apne experiences ke through kar rahe hain. To that's all. Thank you. Thank you so much. Allah Hafiz.

Frequently Asked Questions

Why do we wear masks in everyday life?

Khawar says the mask is needed so people cannot misuse you, and because of insecurities and overthinking about what others will think or judge. Haris adds that in every gathering we wear a different mask, so few people know how we originally are.

Is wearing a mask a good thing or a bad thing?

Both, the hosts say. It can be good for dealing with different people and for switching between professional and personal life, but it is bad when you continue it for your whole life: you forget who you really are, people start judging you differently, and your trust level gets finished.

What is a double face?

A double face is when someone appears one way but is different inside: as people say, what he looks like is not what he is. The hosts quote the line that you might be a hero in someone's story, but on the other side you can be a villain in someone else's story.

What is the solution to double-face behaviour?

Realization comes first: you have to know the thing is happening to you, and if someone tells you, take it positively. Then communicate directly with the person, do a self-analysis, and change step by step, because a river is made drop by drop.

What does the episode say about professional masking?

At work, for example in marketing, you have to deal with different people and represent your company, so switching is necessary. But you have to differentiate the points where the mask is needed from the points where it is not, and switch it off when you come home to family.

Who is the guest in this episode?

There is no outside guest in this episode. It is a conversation between host Khawar Shahzad and his regular co-host Haris Sajid, who he introduces as being with him "hamesha ki tarah" (as always).

Topics Discussed

What This Episode Covers

Find Your Clarity takes one big question and works through it. Here is what this conversation touches on.

Masks and Double Faces Self-Realization and Self-Analysis Communication in Relationships Professional Life and Masking Mental Health and Depression Daily Habits and Diary Writing
Keep Listening

More From Muffled Minds Podcast