PODCAST · EPISODE: 16

The Stress of the Dream Home: Expectation vs Reality

26 December 2025 37 min Noorul Huda Khan Podcast

About This Episode

In Episode 16 of Muffled Minds, host Haris (Rana Haris Sajid) sits down with architect and designer Noorul Huda Khan from Lahore to talk about the stress of the dream home in Pakistan: why building your own house has become so difficult, what expectation vs reality looks like, and how weddings, social media and the housing market turn a home into a source of stress.

Noor explains what an architect actually does, why a three-marla house is never designed by an architect, and how the market works: designers show dreams, but dreams are not within everyone's reach, and selling dreams is not good business. He tells the story of the 15,000-rupee floor plan he made for Khawar bhai, why he charges for skill, and why he works mostly for foreign designers. He also talks about imposter syndrome, the toxic jobs and low pay he faced early in his career, and how he moved to freelancing.

The conversation then turns to why small houses in Pakistani cities feel unlivable: no rules and regulations, encroachments, ramps and cantilevers, and a policy framework that is never enforced. Noor and Haris discuss the system of bribes and demolitions, the 6 lakh children out of school, and whether anything can change from the top or only from the bottom. It closes with the comfort vs showcase question and a rapid-fire round, where Noor reveals his final-year thesis: houses for people who cannot build houses.

We discuss

  • The dream home in Pakistan: expectation vs reality
  • What an architect actually does: the whole built environment
  • Wedding renovations and the pressure to upgrade
  • Dreams vs budget: why selling dreams is not good business
  • The 3-marla house and Khawar bhai's 15,000-rupee floor plan
  • Imposter syndrome, toxic jobs and the move to freelancing
  • Local vs foreign clients and labour arbitrage
  • Why small houses are unlivable: policy, ramps and encroachments
  • The system: bribes, demolitions and 6 lakh children out of school

Key Takeaways

  • Reduce expectations and show reality: a designer has to be honest about what a budget can actually build.
  • A three-marla house is never designed by an architect: it is the lowest of the low cutting, and its owner will not pay for design.
  • Dreams are not within everyone's reach: designers show dreams, but a dream is not a product you can sell to someone who cannot pay for it.
  • Charge for skill: a floor plan is worth paying for because you know the dimensions, the software and how to explain it to a client.
  • Imposter syndrome is dealt with by not listening to everyone, keeping confidence, keep working and demanding your worth.
  • Foreign clients pay because they understand the value of design; local clients often do not, and the market pays for technical skills.
  • Small houses are unlivable because of policy, not design: with no rules enforced, everyone extends forward and no one checks.
  • Change will not come from the top: the bureaucrats will not listen, so the impact has to be made on the common people, one person at a time.
  • A house for show and a house for peace are both valid choices: blame no one for building the house they want.

About The Guest

Noorul Huda Khan
Architect · Designer · Lahore

Noorul Huda Khan is an architect and designer from Lahore. By profession he is an architect, and architects deal with the designing of the entire built environment, whether a house, urban design, an outdoor park or an interior.

He works as a freelancer, mostly for foreign designers who need technical design skills, and his final-year thesis was about building houses for people who cannot build houses.

Full Transcript

This transcript was generated automatically with speech-to-text and lightly edited, so some words may be wrong, and passages that could not be made out are marked [unclear]. The first tab shows what is spoken in the video: Urdu written in Roman Urdu, with English kept as spoken. The English tab is a translation of the same transcript. The video is the authoritative version.

Read the full transcript

0:00 Main ek baat batana bhool gaya ke yeh Rana hai, yeh batata nahin hai, yeh Rana Haris Sajid naam hai inka poora. Aa jao, aa jao, ab o aa jao yaar, nahin nahin. Aaj ke jo hamare mehmaan hain, woh hamare bahut azeez dost hain, hamare bahut azeez bhai hain, Mister Noorul Huda Khan. Mister Noorul Huda Khan, Assalam-o-Alaikum, Noor bhai, Alhamdulillah, Noor bhai, Muffled Minds typical question, who are you and what you doing? Roti aa gayi. Hamara ek Muffled Minds signature question hai ke what are you and where you from?

0:49 What am I? Main ek insaan hoon. Assalam-o-Alaikum everyone, welcome to Muffled Minds, Find Your Clarity, main hoon aap ka host Haris, aur jo aaj ka hamara topic hai woh hai Dream House, Expectation vs Reality. Jaise ke aap sab jaante hain ke aaj kal ki life ke andar Pakistan mein apna ek dream ghar banana kitna mushkil ho chuka hai, us cheez ko paaye takmeel tak pahunchaana kitna difficult hai, kyunki hamare parents ne apni life ke andar poori life ki mehnat aur poori life ki savings ke through hamein woh ghar provide kiya jismein aaj kal ham rah rahe hain, aur kuch aaj bhi koshish mein hain ke ham apna ghar bana sakein, lekin in our society itna mushkil ho chuka hai Pakistan ke andar apna ghar banana, expectation ko meet karna, jo aap dream house chaah rahe hain, kitna mushkil ho chuka hai, aur iske liye aaj hamare

1:44 Hamne guest ko laaye hain jo ke hamare bahut azeez dost bhi hain, hamare bahut azeez bhai bhi hain, Mister Noorul Huda Khan. Kaise hain Noor bhai aap? Main theek, aap ke saath sunayein, Allah ke shukr hai, theek thaak. Achhe, Noor bhai, hamara ek Muffled Minds typical question hota hai: What are you and where you from? Mera naam Noorul Huda Khan hai, main Lahore se belong karta hoon aur by profession main ek architect hoon. Architect, designer, poora bolo architect, architect sab se pehle ham hi the bhai, theek hai. Kaise kaise, kaise kya matlab, architect jab aap sochte ho to kya aata hai zehen mein? Design. To phir baad waale architect kya hain?

2:22 Woh designers to nahin hain na. To be respectful, okay, be respectful to Noor bhai. Okay Noor bhai, Noor bhai, thoda sa aap explain karenge ke aap kis tarah ki designing karte hain? Main architect hoon, architects ka talluq hota hai tamaam built environment ki designing se, woh chahe ghar ho, chahe woh urban design ho, chahe woh bahar ka park ho ya interior ho, to un se talluq hota hai. Achha, main apne first question pe aaoonga. Jaise ke aap ko pata hai ke jaise hi kisi ghar mein shaadi aati hai to sab se pehle us ghar mein renovation aati hai, ek ghar ke andar ke aap ne

3:05 Ka room redesign karna hota hai, aur agar floor hai to aap ke khyaal mein aaj kal ki society ke andar jab ek shaadi shuda jode ka ek floor ya room design kiya jaata hai to usmein kitni hurdles hoti hain aur woh kis tarah se impact karta hai mentally, kyunki hamne ek apni society mein culture bana diya hai, ke jab bhi kisi ghar mein shaadi hogi, yeh cheezein families ki taraf se bhi, ladki waalon ki taraf se bhi hoti hain, ke hamein thoda sa aap upgrade karke dein cheezon ko, to aap ki thinking is par kya kahti hai, kitna yeh mentally torture karti hai,

3:47 Ladke ko bhi aur ladki ki family ko bhi. Yaar, yeh hamare culture ne kaafi puraani jo hai yeh tradition permit ki hui hai aur bas ek riti rivaaj hai yaar, ab is ka kya karein. Na is ko, as a designer, mere opinion maang rahe hain aap, obviously aap designer hain na. Haan yaar, bada badi, phir main to ek munafiq ho ke yeh baat kahoonga kyunki as a designer main to un logon ka kaam karta hoon jo ke paise lagaate hain aur jo ke woh jo dreams hain apni poori karte hain, aur jo dikhta hai woh bikhta hai, lekin as a cultural standard us ko agar kahein to main agar us ko sochoon na

4:27 To jo ek struggling middle class family hai us ke liye to bahut takleef de hota hai. Main as a designer, unhein ham designers woh khwaab dikhaate hain, aur woh khwaab jo hote hain khwab hi hote hain, har kisi ki reach mein to nahin hote hain. Jaise Noor bhai, jaise ke aap freelancer hain, freelancing karte hain, aur aap ke zaaytar clients foreigners hi honge, to unmein bhi issues hote hain, haan, unmein bhi hote hain. For example, aap ke paas aisa client a gaya hai jisne khwaab to bahut bade dekhe hue lekin us ke paas itna budget nahin hai. Haan, to then aap sirf, yaar yeh, ab agar main is ko as a good business sochoon na, ke yeh kya, mainne to paise kamaane hain, to as good,

5:09 Will this be good business? To nahin, main agar koi banda aake khwaab dekhna chaah raha hai na to main use khwaab nahin bechta, main use technical services bechta hoon, theek hai, to aise clients ke jo ke aake khwaab dekh rahe hain, karwana chaah rahe hain na, woh shaayad itne paise nahin dete, aur us ki wajah kya hai, ke yaar main jo good business hai na, woh yeh hai ke main un logon ka kaam karta hoon jo ke bahar ke designers hain aur un ko technical skills chaahie hote hain, theek hai, to jo banda jo khwaab dekh ke aa raha hai, use technically pata nahin hoga yeh kya hai, to woh us par zyaada paise nahin lagaata, to that's why it's not good business, theek hai,

5:46 To lekin culturally dekha jaye, to haan, yeh to ek insani culture hai, ke jo ham log jab se metropolitan cities mein rah rahe hain tab se ham log aise khwaab dekh rahe hain, aur metropolitan ka jo ek khwaab hai, jaise following the Joneses kahte hain America mein, ya phir yahaan par the Pakistani dream ya American dream, the Indian dream, ya is tarah ke kisi bhi mulk ki ek nationalist dream hoti hai, woh to ek ghar to hota hai usmein, aur woh har kisi ki pahunch mein nahin hota, aur woh har jagah hota hai, aur jiski pahunch mein nahin hota hai us ke liye takleef de hota hai. Achha, agar ham is ko thoda se leke aayein, kyunki ham baat kar rahe hain ke

6:28 Dream house, to jaise ke aap social media pe dekhte hain, ya woh ek website hai Pinterest, us pe aap dekhte hain ke different different designs hote hain, aur different different usmein dikhaaye jaate hain ghar, bade khubsoorat khubsoorat, to aap ko kya lagta hai ke ek social dilemma bhi hai, ke jismein logon ko us taraf leke jaaya jaata hai, ke yaar yeh cheez bhi ho sakti hai ghar ke andar. Haan, aise hi hai, aap ne Pinterest aur Instagram ki baat ki, hamari field mein jo research ke liye ham projects ko dekhne ke liye jo website use karte hain, us ka naam hai Arc Daily, aur Arc Daily jo hai woh poori bhari hui hai yahi Instagram, Pinterest vibe waale jo hai na, tasveerein aur ghar aur khubsoorti, aur yeh woh jo hai, woh cheez hamari aesthetic aur hamari soch ko train karti hai.

7:17 To yeh website, Instagram aur Pinterest ke aane ki wajah se, jo hamari ek, jo hamara standard hai, yeh shaayad zyaada reveal ho gaya hai, kyunki pehle ham itne trend nahin hote the, ham badon se apne trend hote the, aur bade jo hain woh environment se, as a whole, poore environment se, jaise ham train hote the, ab woh jo saari cheezein hain woh aap ke saamne black rectangle pe aa gayi hain, aur woh hamare zehen jo hai woh aisi khwaahishaat se bhar deti hai, aur is culture ko zyaada permeate karti hai, aur takleef bhi aur banaati hai. Achha, isi mein agar ham baat karein, ek jo decision lena hota hai ek ghar banaane ke liye, usmein different cheezein aa jaati hain, like aap ke, aap ne apni jeb bhi dekhni hai, aur aap ne apni dream ko bhi meet karna hai, to aisa agar aap ke paas koi client aata hai, aap us ko

8:08 Kya suggest karte hain, kis tarah se us ko donon cheezon ko lekar chala ja sake? Yaar, phir to aap ko, to yeh to bada simple sa jawaab hai ke aap ko expectations ko kam karna padta hai, lekin like reality dikha sakte ho na? Haan, reality dikhaani padti hai aap ko, phir to aap ki apni honesty ki baat hai na, aap use agar mithai ka dabba bech rahe ho, use khubsoorat bana ke, to woh to aap ne utna hi bechna hai na jitna woh kha sake, jitna woh pay kar sake, na? To aap use, aap ek teen marle ki jagah kanal ka ghar dikha rahe ho, to woh to obviously nahin ban raha hai, to obviously ek, aap kah lein, na, unexpected cheez hai ya undoable cheez hai, like woh chaah raha hai ke itne, ab teen marle ka ghar hai, mein usi mein ek mahal ban jaye.

8:58 To yaar aise hota hai, yaar, honestly speaking, Haris, yeh question shaayad banta nahin hai architect se, pata hai kyun? Kyunki na, teen marle ka ghar kabhi architect design nahin karta. Achha, kyunki teen marla jo hai na, lowest of the low cutting hoti hai, aur us ka jo client hota hai, us ke paas pehli dafa itne paise aaya hota hai ke woh ghar banwaaye hai na, to woh designer par kabhi paise kharchta hi nahin, kyunki woh kaise culture se aa raha hota hai, woh kahta hai ke main te aap bana la, hai nahin? Noor bhai, mera teen marle ka ghar hai, mainne banwaaya tha, banwaaya tha architect se, architect ne kya kiya tha? Usne proper poora floor plan bana ke diya tha. Design kya tha usmein? Design, like, design kya tha usmein

9:44 Ghar ka design tha. Design se kya muraad hai? Ab main phir ismein agar woh thoda se deeper jaaoon na, to jo teen marle ka ek floor plan banana hai na, woh koi itna khaas kaam nahin hai, it's not something ke woh saare gharon ka ek jaisa hi hota hai, aisa hi hai, different to nahin hota. Different bhi hota hai. Kaise? Like ab kuch hote hain log jinko teen marle ke floor pe room zyaada chaahie, kuch ko ek room ya do room chaahie. Ab hamein do room chaahie the, hamne do room rakhe. By thoda sa law, to agar aap ko do na chaahie hote to kya hota? Yaani ke do se zyaada chaahie hote? Haan, to us ko thoda sa ham kam kar lete hain na. Kaise? Yaani ke ab hamne poora ek sehan choda hai

10:23 Us sehan ke andar hi kitchen bhi beech mein hi aa raha hai, woh living area hai, woh ek tarah. Haan, ek tarah ka living area hai. Sehan khula hai chhat pe? Nahin, nahin, nahin, band hai. To sehan to na hua. Woh living area kah rahe hain. Haan. Sehan, main ghalat kah raha hoon. Main aap ko kahne ka maqsad yeh hai ke aap teen marle ke ghar ki baat kar rahe ho na? Aap ne apna ghar dekha hai. Mainne teen marle ke hazaaron plans dekhe hain, aur woh sab ek tarah ke hote hain. Okay. Ham, usmein aap agar kaho na, us ka design kya hota hai, woh ek standard design hota hai, ke peechhe do kamre, us ke peechhe do bathroom, peechhe laundry area, khula thoda sa aa jaata hai, beech mein living area, us ke saath hi kitchen,

11:00 Aur living area se aage agar jagah hai to drawing room, bas aise hi hai, aise hi hota hai, hai na, aise hi hai. Aur Khawar bhai, aap ne Khawar bhai se 15,000 liya tha, jo market ka rate hai na, woh hota hai kuch 250, 300, ya is tarah kar ke na, ek range hoti hai per square foot. Agar main Khawar bhai ko per square foot karta to woh ho jaati 80, 90 lakh, lekin Khawar bhai kyunki jaanne waale ke through aaye the, Talha Shahid ne mera reference diya tha, aur Talha ne, Talha Shahid ne pata hai aap ko kya kaha tha? Mujhe ragad do Khawar bhai ko, and manjh ke jade na, to mainne, main ab us waqt na, waise hi na, main naya-naya us waqt

11:42 Mainne kaam start kiya tha freelancing ka, aur tab na main bada bahut hi jo hai na, disheart hota ja raha tha, hota ja raha tha, ke mainne pehle seniors ka kaam kiya, unhonne faaida uthaaya, phir mainne thesis kiye, unhonne faaida uthaaya, phir main jab jobs ke liye nikla, 20,000 ki mujhe job mili, wahaan pe bhi mera faaida uthaaya ja raha tha, aur bahut hi ek toxic sa arrangement tha, aur phir isi tarah koi agar jaise Khawar bhai aaye, Khawar bhai, clients aate the, woh bas aise hi jo hai na, bas woh poochte the, aur jali-jul kar ke tu-tu kar lena. Achha, to ab Khawar bhai aaye to mainne Khawar bhai ko 15,000 quote kar diya. To mainne Talha Shahid ko bataya na 15,000, to main clarify yeh kar raha tha ke 15,000 mainne liya. Yeh bahut kam tha, ke mujhe tha ke jitne woh denge na, utne hi main

12:32 Le loon. Haan, theek hai? Ab woh 15,000 main kis cheez ke charge kar raha hoon? Ke mujhe ek naksha banana, padhna aur design karna aata hai, mujhe pata hai ke khidki itne by itni ki hoti hai, kamra, ideal kamra, itne by itne ka hota hai, woh ek software mein kaise banta hai, aur mainne ek client ko samajha ke kaise woh dena hai, aap ne skill ke paise liye. To yeh Khawar bhai ko pata tha, kyunki Khawar bhai khud pade likhe hain, lekin yeh ek 3 marle ka, mera jo start ki thi, ke teen marle ka ek designer se koi talluq hi nahin hota, kyunki teen marle ka ghar jo banwaata hai na, Khawar bhai ne banwaaya to unhonne 15,000 mein naksha bana liya, is tarah kitne log honge jo 5,000 mein bana dete hain, theek hai, Khawar bhai ko value nazar aayi, unhonne 15,000 de diye.

13:16 To baat yeh hai ke wahaan pe it's not good business, samajh aayi? Matlab wahaan pe paise nahin hain, main sustain nahin kar sakta apne aap ko, to main kaam un logon ka karta hoon jo ke paise de sakein. Vaise mainne shuru mein bhi munafiqat hai yeh ke main jo is ko criticise bhi karoon ke yaar ke bada ghar kyun banaate hain, chota bana lo, lekin main paise bada ghar banaane ke lete hoon. Haan, sahi hai, sahi hai, behtareen. Achha, subscribe, Noor bhai, abhi aap ne baat ki beech mein ke aap ne 20,000 ki job bhi ki starting mein aur aap ko bada hate bhi mila usmein. To psychology mein ek term aati hai, us ko kahte hain imposter syndrome. Ismein aisa hota hai ke ek shakhs hai, woh bilkul hi neglect kar jaata hai apni skills ko leke, us ko, woh itna kaamyaab hota hai ke woh apni life pe survive kar sake, lekin us ko ek andar hi andar

14:12 Dar laga rahta hai ke main kaamyaab nahin hoon ya log mujhe kaamyaab nahin samajhenge in future. To like, during that struggle, to aap ne us ko kaise face kiya? Yaar, mainne nahin face kiya is masle ko, kyunki main confident tha, aur isliye main confident tha, to mainne chhod diya, mainne 5-6 mahine job ki, aur mainne kaha, yaar, main freelancing hi karta hoon, mujhe apni abilities par confidence hai, aur jahaan par paise zyaada aa rahe hain, main udhar chala gaya. Lekin haan, mainne apne peers ko yeh experience karte dekha hai, aur main phir ek tarah se un ki counseling hi ho gayi, main unse baat kiya, unhe samajhaaya ke yaar yeh society aise karti hai, aur ham jaise generalize karke Gen Z ke baare mein baat karte hain na, ke woh log bada is culture ko, woh kahte hain ke yaar,

14:56 Ke paise milenge to ham kaam karenge, aise hi hai, aur jo hamari puraani generations hain, unhonne apne aap ko gira diya, ghata diya, ke 20, 30, 80, 80, chalo aaj tak kah lo, 80, 80 milenge to. Main confident tha, lekin haan, mere peers is syndrome mein aa jaate hain, aur shaayad hamare bade bhi aaye the, jo ke abhi tak inflation ke mutaabiq to nahin kamaa rahe hain. To yaar aise hi hai, yeh imposter syndrome hota hai, aur use deal kaise karna chaahie? Main as a counselor, ya apne doston ka, jo ke ise face karte hain, main unse kahta hoon, yaar, aap ko

15:38 Aap ko seedha kisi ki nahin sunni, phir aap ko confidence laana padta hai, apne aap ko kaam karte rehna padta hai, aur aap ko demand karna hota hai, phir baat jo hai, mere khyaal mein, phir is cheez ki nahin aati ke aap qaabil nahin ho, phir yeh aati ke, yaar, aap ne survive karna hai, aur koi raasta to nahin hai na, aap apne aap ko aise kam tar kyun samjho? Agar aap apne aap ko kam tar samajh rahe ho, is ka matlab hai ke aap jo, woh haq nahin rakhte hain khwaab dekhne ka, aur aap rakhte ho haq khwaab dekhne ka, aur aap ko, matlab, apne aap par yaqeen rakhna hai. Achha, agar ismein baat ki jaye, jo bhi aap ne kaha ke khwaabon ko dekhna kabhi chhodna nahin chaahie, khwaabon ko leke chalna hai, to agar isi mein mujhe, abhi aap ne jo job waali beech mein kahi na baat, ke 70, 80,000 ke job log kar rahe hain

16:23 Aur itni itni amount ke andar, to itni amount to locally aap ko pay ho sakti hai na, agar aap internationally kaam karein ya foreign clients ke saath kaam karein to ek achhi handsome amount dollars mein aa jaati hai aap ke paas, to like aap ka experience kaisa raha with local clients and with foreigner clients? Haan, bada achha sawaal hai. Ismein yeh main bhi sochta tha is baare mein, to yeh hi ek bahas rahti thi ke local aur international. To yaar, local hamari jo market hai na, jaise mainne bhi aap ko teen marle waali baat kahi, usmein hamein yeh samajhna chaahie ke ham ek developing country hain, ham log abhi ek designer ki value ko nahin samajhte, ek designer ki value ko samjha jaata hai jab aap developed ho, aap thode ameer ho jao,

17:14 Jab aap ameer hote ho na, tab aap ko samajh aati hai ke yaar, sochna shaayad mera kaam nahin hai, sochna jo hai, main ek khaas cheez mein kar sakta hoon, ke matlab, ek engineer jo hai, woh ek doctor nahin ban sakta, aur ek doctor engineer nahin ban sakta, hai na, to is ka matlab hai ke aap sab kuch nahin kar sakte hain, to ek designer ki value tab aati hai ke aap ne apna dream house socha hua hai, to aap ko technically nahin pata ho ke kya aise possible hai, to us cheez ko sochne ke liye ek designer aap hire karte ho, samjhe hi? To ek teen marle waala to nahin sochega yeh, woh hoon, woh banda sochega jo ke 10 marle ya kanal pe hoga, even woh bhi nahin sochte, to

17:57 Ab ek developed markets, ab international ki baat ki jaye na, main ismein ek aur point bhi hai, lekin main is ko clarify karta hoon, ke main unka kaam karta hoon na, to woh log is cheez ko samajhte hain aur woh paise dete hain, theek hai, lekin jo doosra point hai, woh yeh hai ke unke liye bhi ek labor arbitrage hai, woh log mujhe employ karte hain kyunki, kyunki main unhein sasta padhta hoon, achha, woh agar locally kisi architect ko employee karenge, to woh unhein mahinga padega, theek hai, to yeh ek doosra point hai us ke andar. To developed markets mein us ki value samjhi jaati hai, lekin developed markets mein bhi log saste mein kaam karaate hain. Achha, aap ne abhi beech mein kaha ke ek doctor kabhi ek architect nahin ban sakta aur ek architect kabhi doctor nahin ban sakta. Achha, main aap ki is baat se ikhtilaaf karoonga

18:44 Kyunki ho sakta main galat bhi hoon, kyunki mere kuch dost aise hain, like ek dost se, usne mechanical engineering ki hui hai, aur woh STEM jo hai, software developer aisa kaam kar raha hai, aur mera ek doctor tha dost jisne MBBS ki degree ki, aur us ke baad us ko itna woh kar nahin saka, us ko chala nahin saka, kyunki har bande ka kaam nahin hota, ke woh agar degree kar bhi le to in future us ko as a income ke tor par us ko le hi na sake, to woh aaj koi online job kar raha hai, aur kya job hai? Like aap kah sakte hain ke customer care ki job hai, woh kah raha hai. To is ka bada asaan jawaab hai, Haris, aap ne apne pehle dost ki example di, woh ek mechanical engineer hai.

19:28 Usne engineering ki hai na, engineering mein use software padhaye gaye, padhaye gaye, aur usne bajaye iske, mechanical engineering ki jo traditional jobs, to aap ko samajh aa rahi hai ke ek engineer doctor kyun nahin ban sakta, ke woh engineering hi padhi hai, aur engineering ki ek shaakh ko, woh shaakh ko pakdi hai, theek hai, woh doctori mein nahin chala gaya, bada matlab is cheez ko samajhna padega hamein, aur ab doosra aap ka dost jo MBBS isne kiya, woh ab customer care ki job kar rahe hain, ab hamein un donon ko compare karna hai, customer care is not a very technically

20:07 Technically hard profession. Customer care, aap dekh lo, call center ki aaj kal job, FSc, matric waale ladke kar rahe hote hain, theek hai, woh jo bhi ho, woh sikhaaya ja sakta hai, customer care mein aap ne ek script ko follow karna hai, script, aur aap ko thodi si product knowledge honi chaahie, lekin kya ek, aap ka dost MBBS karke yeh kaam kar raha hai, lekin kya ek customer care waala banda doctoring kar sakta hai, nahin hai na, to yeh thoda sa ismein na, yeh complexity hai, jisko hamein samajhne ki zaroorat hai, ke aap kuch bhi kar sakte ho. Like, haan, matlab, it's not that simple, aap bhi nahin kar sakte. Aap ne us cheez ka jawaab de diya ke jaise ek designer baitha hota hai na, design bana raha hota hai, peechhe se do saal, oye, to main bhi bana loonga.

20:49 To like woh nahin bana sakta hai, tak ke us ko cheezon ki know-how nahin hogi, ek had tak woh kar sakta hai. Achha, main thoda sa aaoonga, jo hamare cities ke andar jo chhote-chhote ghar bane hue, to aap ke mind mein koi aata hai aisa idea ke us ko thoda sa ham, kyunki teen marle ka makaan, aap teen marle ke makaan mein kya hi bana lo ge, sa, pehle hamne baat ki, to aap ke mind mein koi aisa structure thi jo aap thoda sa explain kar sako, ke us ko ham thoda rehne layak bana sakein? Yaar, isme na, mere khyaal mein design ka itna zyaada role nahin hai jitna policy ka hai. Ab ek teen marle ke ghar jo hai na, standard tareeke se hi bante hain, aur woh unlivable itne zyaada kyun hote gaye hain, kyunki na, unmein koi rules and regulations nahin hain, aise hi hai.

21:38 Woh agar ghar banaata hai na, ek teen marle ka, woh chhoti gali hogi, woh us ke saath bhi, har jagah teen marle ke ghar hi honge, ab un ki koshish pata hai kya hoti hai, ke woh kitna aage nikaal sakte hain, hai na, ab woh jitna aage nikaal sakta hai na, us ki slope bhi, upar se ek cantilever bhi, theek hai, upar waala floor extend karna bhi, to us ki yeh koshish hoti hai, aur us ko koi policy waala check karne waala hi nahin hai na, to agar to wahaan pe rules and regulations honge, jaise agar main example doon, New York hai, ab New York mein bade-bade skyscrapers hain, ab woh incentive dete hain ke agar kisi bande ne building banaani hai na, to agar to woh apni plot mein se khaali jagah dega public ke liye, to us ko ham ek aur floor daalne denge, aur agar to ek

22:23 Woh apni building ki shape aise banaega ke neeche tak dhoop aa sake, to ham us ko aur floors banaane denge, samajh rahe ho? Incentive structure hai, policy framework hai. To hamara yeh policy framework hai hi nahin, hamara policy framework hai, woh enforced nahin hota, to is wajah se yeh ke maslein hain. Baaki agar design ki baat ki jaye, yaar, to haan, main aap ko ek khubsoorat aur ek hawaadaar aur woh saari cheezein bana ke de sakta hoon, lekin na, phir link ho jaati hai ek banda kitna paise kharch sakta hai. Bilkul, bilkul, bilkul. Abhi aap ne sooraj ki baat ki na, to mujhe apna ghar yaad aa gaya, kyunki mere ghar pe sooraj ka concept hi nahin hai, woh aisa congested ho chuki hai cheezein, ghar ke saath ghar khade hue hain, ab mere do floor hain, kisne chaar khade kar liye hain, jagah hai, taarein latki hui hain.

23:13 Gutter ubal rahe hain, nahin, gutter ubal rahe hain, nahin, sorry, sorry, gutter nahin, matlab jo uneven hain, uneven bane hue hain na, uneven bane hue hain, hodiyaan jo bani hui hain, haan, masla rahta hai, hamein saaf karwana padta hai kuch time ke baad, yeh cheezein to hain, in ko agar ham theek karna chahein to start kahaan se lein? Yeh sirf ek start hai, na, yaar, Haris, yeh political masla hai, aur local governments kar sakti hain, simple as that, as an individual karna chaaho, kar sakte ho, kuch bhi nahin kar sakta, main apni gali saaf kar loonga, main aake kahoonga apne thode ek-do hamsaayon ko, mangwa loonga, saare nahin maanenge, hai na, phir woh cultural masla bhi hai, political masla bhi hai.

23:55 Abhi to nahin hal hone waala. Cultural masle mein to aa jaate hain, ke aap ne ghar banaaya to ek to dikhaane ke liye bhi banaate ho aap, yahaan par ek to woh system bhi hai society ke andar hamare. Yaar, yeh bada, bada na, Haris, yeh agar cultural is masle ke baare mein, main jab sochta hoon na, to main kahta hoon, yaar, ham na sukoon chaahte hain, hai na, main aur aap sukoon chaahte hain, aur lekin na, hamne agle ki le li hai, agle ko takleef di hui hai hamne, aur khud bhi takleef mein hain, main yeh nahin samajh raha ke ham agar doosre ko sukoon denge to woh bhi hamein sukoon dega, aisa hi hai. Ab har kisi ne aage ramp nikaali hui hai, to sab ne nikaali hui hai na, aur khud bhi takleef mein hain, mat nikaalo, yaar, aap do foot andar le jaaoge

24:35 Kuch bhi nahin, farq, aisa hi hai, sirf do foot aage karne ke liye, aur usmein phir wohi policy framework ka masla aa jaata hai na, jin logon ne woh policy enforce karni hai na, woh kahte hain, yaar, tu 80,000 pakda, theek hai, kar le, to phir yeh masla hai na, phir ham takleef mein bhi hain, aur phir hamne aage bhi badhaana hai, to phir abhi recently mainne dekha bhi aur suna bhi bahut, ke government is par kaam kar rahi hai, kaafi demolition tode hain societies ke andar, aur yaar, Haris, honestly na, yeh hal nahin hai masle ka, yeh jo hai na, khaali kar dena, haan, aap ko sukoon to hota hai, aur aap ko nazar aata hai ke road badi khuli hai, aur yeh sab hai, lekin yaar, yeh

25:18 Baat na phir aur gehri hoti jaati hai, phir ham agar is cheez ko samjhein, aur chalo ismein thoda sa aur deep dive karte hain. Ab woh banda jo assi hazaar leke aap ka ramp aage kar raha hai, ready lag, kahein na kahein se approval to liya hoga na, aise hi hai, aaj kal to approval bhi nahin lene padte hain, yeh jitni marle bane hain, nahin lete honge, jhoot bolte honge, lekin pata hoga na un ko, jo woh ke aage nikal rahe hain, phir ekdam se government change hoti hai, aur wohi log jo pehle paise leke aage badhne de rahe the, woh aa ke tod ke chale jaate hain, bilkul aise hi hai. To yaar, yeh kya mazaak hai, yeh mazaak chal raha hai, hai na, mazaak hi chal raha hai, phir, phir ham, phir mujhe batao, ham kis se jaake kahein, jin logon ne unhein rokna hai, woh

26:12 Aage badhne dete hain, aur phir aake khud hi tod jaate hain, aur phir baad mein aake aur paise lete hain. Yaar, matlab, main na, main, Haris, main jab se experience kar raha hoon na, practical life mein main aaya hoon, mera sar phatta hai, ke yaar, is cheez ka koi hal nahin hai, bhai, is cheez ka hal pata hai kya hai? Phir main jaao aur kahoon ke yaar, 6 lakh bachcha school se baahar hai, use school mein daalo, phir 20 saal baad use aur mazeed behtar taleem doon, phir jaake ham jab 2-3 generations yeh zaaya ho jaayengi, phir hamein samajh aayegi ke, even main gaaliyaan pakoonga, nahin, gehri baat hogi, ek sensible banda jo hota hai, jisko thodi sense hoti hai cheezon ki, like woh aap ki tarah padhta hi hai, like us ko pata hai na ke cheezein ghalat ho rahi hain, cheezein ko theek karne

26:55 Ke jurrat hai, aur cheezein theek ho nahin rahi, aur aap ko yeh bhi pata ke aap individually impact nahin daal pa rahe, then aap ko aur gussa aata hai, to aap nahin kar sakte, Haris, woh top down hoga, aur hamein is takleef se guzarna padega, historically aise hi hota raha, har jagah jo hai na, jo mulk bane, nations bane hain, aise hi bane hain, takleef mein hi guzar bane hain, mujhe, yaar, main nahin kar sakta kuch, woh jo bande, jo baabu baithe hain, woh bas baithe hain, aap unse baat nahin kar sakte hain, aur aap ki baat thodi sun rahe hain, main Khawar bhai ko yeh kahta hoon ke na, hamein baat karni chaahie individually, aur jo hamare

27:36 Qaum hai na, main un ki baat nahin kah raha, jo is time government ke andar hain, ya kisi badi post pe, main un logon ki baat nahin kah raha, main aam awaam ki baat kah raha hoon, main un ko hamesha yeh kahta hoon ke hamne impact daalna hai aam awaam pe, kyunki mujhe pata hai ke jitne bhi upar baithe hain, hamari baat sunne ke liye nahin baithe, lekin ek aam awaam hai, agar usmein se koi ek banda bhi hamari sun leta hai na, aur us ko change karne ki koshish karte hain cheezon ko, then main kahta hoon ke haan, aap ki achhi, aap ki optimistic soch hai, Haris, meri pessimistic hai. Haan, yeh bhi hai. Mere, main pessimistic bhala kyun hoon? Main kah raha hoon, yaar, aap hamari baat pata hai kaun sunega? Woh bachcha jo school gaya hoga, jo college gaya hoga, jo university gaya hoga, 6 lakh bachche school se baahar hain. Aise hi hai.

28:16 Pata nahin yeh number kya hai, main random number quote kar raha hoon. Lekin bachche school se baahar hain, kam nahin honge. Noor bhai, agar aap school ki baat kar rahe hain to school mein aisi cheezein kaam tarhi ja rahi hain, yaar, woh baat ki baat hai, bhai, pehle to leke to jao, lekin us ki grooming thodi sahi ho jaayegi, thodi bahut to hogi na, abhi to baat ho rahi hai ke school se baahar hai, woh school ka kya masla hai, woh to baat ki baat hai, phir kya karein, agar school mein chala bhi jaye to kya hi padhega?

28:56 Yaar, chalo gaya to sahi na, are, shauk se koi nahin padhta, bachcha jo hota hai, chalo, shauk hota hai bhi hoga bachchon ko, theek hai, lekin main yeh kah raha hoon ke aap ke maa-baap bhejte hain na aap ko, hai na, abhi maa-baap ke paas na means hain aur na woh schools hain jinmein woh bhej sakein, aisa hi hai, nahin hai na, phir, phir to agar aap baat kah rahe ho grooming achhi nahin ho rahi, yaar, main kah raha hoon, nahin ho rahi, lekin woh school mein aayein to sahi hai na. Achha, Noor bhai, mera last question, aap ki baat theek hai, lekin main is ko zyaada exaggerate nahin karna chaah raha, kyunki us ka faaida koi nahin hai.

29:34 Kyunki aap ne pehle hi kaha ke yeh cheezein change ho sakti hain upper level se, to upper level waale sunne waale hain ya par koi, yaar, itna hain impactful cheezein, hain, nahin, main aap se last question poochhoonga, ke aap ko kis type ka design banaane mein zyaada maza aata hai, like comfortable house, like living as a, usmein rehna, aur as a showcase, aap ne dikhaave ke liye ghar banaana, bada interesting sawaal hai, personally to main sukoon de ghar mein rehna pasand karoonga, lekin yeh subjective hai.

30:15 Bada, agar main is ka simple answer doon to yeh subjective hai, theek hai, lekin haan, aap us bande ko blame kar sakte ho jo dikhaave ke liye ghar banaata hai, nahin, ham kyun blame karenge. Saath, main aap ki baat kar raha hoon, main to, mera agar kabhi ghar aap ne pasand karna ho na, to seedhi deewaarein, saadhi khidkiyaan hongi usmein, bas, interior mein main, chalo, andar jo badi jo LCD rakhi hai, us ke baad aap saadha deewaaron ki baatein kar rahe ho, haan, to nahin, to woh dikhaane ke liye thodi hai kisi ko, woh to mere apne istemaal ke liye, bilkul, bilkul, apne istemaal ke liye, woh dikhaave ke liye to nahin aayegi, lekin like agar ham kisi bande ko kahenge na, woh bhi kahenga, usne achhi ek koi cheez lagwaai bhi hai, ghar ki, mere, mere istemaal ke liye, mainne dikhaave ke liye thodi lagwaai bhi hai.

31:05 Lag, lag, lag kar se. For example, for example, ek table hai, main aap ko example deta hoon, mere ghar mein aap ko chandelier nahin nazar aayega, samajh rahe ho, shaayad agar mere begum ya meri amma kahe to main lagwa loon, lekin mujhe personally nahin pasand hai, matlab main shaayad dikhaave par nahin jaaoonga, theek hai, lekin un ko dekhna bhi pasand hoga, yaar, matlab yeh na, aesthetic philosophy ki baatein hain, matlab agar main yeh baat kahoon, mainne aap se yeh sawaal kyun poocha, ke jis bande ko dikhaava na pasand hai, aap us ko blame kar sakte ho, nahin kar sakte, to phir kya farq padta hai, jisne dikhaane ke liye banaana hai, aur dikhaane ke liye banaana hai, jisne sukoon ke liye banaana hai, aur sukoon ke liye banaana hai.

31:46 To theek hai, bilkul sahi hai. Achha, Noor bhai, mainne koi ghalat baatein to nahin kar di? Bilkul, aap ne badi maze ki baatein ki hain. Ameer Hamza, baad mein ham video call karenge, abhi ham podcast ke dauraan hain. Achha, main na, mainne kuch rapid fire questions ready kiye, to aap ko pata hai na, yes, lekin aap ne sochna nahin hai, jaise aap se karna. Achha, kyun has rahe hain? Noor bhai, Rana, assi Rana ne hain, assi Raane hain. Carpet aur hardwood? Hardwood. Okay. Bright color aur natural? Natural. Okay. Total silence aur white noise? White noise. Okay,

32:29 One big open room aur lots of crazy small rooms? One big open room. One big open room. Natural light or moody dim lights? Natural light. Achha. Messy desk or clean desk? Messy desk. Okay. Symmetry or asymmetry? Asymmetry. Okay. Buying a fixer upper or move in ready? Move in ready. Okay. Vintage charm aur modern sleek? A house full of guests aur a house full of plants? Full of guests.

33:09 Nice. Form or function? Function. Warm yellow bulbs. Total silence. City background noise. Curtains open or curtains closed? Open. Aap soch rahe hain, sochna nahin hai, abey, sochna nahin hai, high ceiling aur low ceiling, high, okay. Rough texture or smooth? Tough, rough. Tough, haan, rough. Tough aur rough? Rough and tough. Abhi kitchen aur joint bedroom? Bhai, kitchen, kya karte ho kitchen mein? Yaar, yeh begum use karti hai. O, us ke liye, ab begum ko soch rahe hain tum. Sara, sab, begum mera hissa hi hai. Tum baahar aa jao, hello.

33:53 Tum baad aajo, tumhari main wife ka number leta hoon, nice, sir. Living at the top of a skyscraper or a cottage in the woods? TV in the bedroom, yes or no? Working from bed or working with the dining table? Fun expensive statement piece or lots of cheap decorations? Lots of cheap decorations. Nice. Pencil paper or iPad? Style, soch nahin rahe, sochna nahin hai, chhod do yeh question. Designing for a billionaire or designing for a charity?

34:35 Charity. Jhoote? Aap ne mera thesis dekha hai? Thesis bhi hai aap ka? Haan. Kya naam hai thesis ka? Mera thesis tha final year ka, jismein mainne ghar un logon ke liye banaaye the, jo ghar bana nahin sakte hain. Oh my god, nice, nice, to bhai, hamein aise log chaahie hain, yaar, par lekin yaar, wahi na, it's not good business, main munafiq hoon is maamle mein, munafiqat jo hai na, Haris, so, insaani har pehlu mein hai, mainne is cheez ka akhz kiya hai. Aap ne yahaan pe jaake foran neeche aa gaye, aap hain? Haan, it's not a good business. Haan, business achha nahin hai, main ghareeb aadmi, kya kaam karke main apna ghar to nahin chala sakta, yaar, ab kya karein, ek capitalist society hai hamari, to bas, chalo, ek beech mein end pe rah gaya, woh main poochh leta hoon, the client is always right, aur the architect knows better, the client

35:28 Is always right, bahut deewala karnega to karnega. Nice, yaar, thank you so much, Noor bhai, bahut maza hai aap ke saath podcast karke, aur umeed hai ke yeh beech mein aayega saara kachche kachche. Main ek baat batana bhool gaya ke yeh Rana hai, yeh batata nahin, yeh Rana Haris Sajid naam hai inka poora. Yeh hamare darmiyaan ek joke hai, main Rana nahin hoon, theek hai na, aur yeh hamare head Rana hain, tumhare head Rana office, okay, theek hai.

36:11 Thank you so much, Noor bhai, bahut maza hai aap ke saath podcast karke, InshaAllah, main umeed karoonga ke aap dubaara bhi hamare saath judenge. Main idhar hi hota hoon, yaar. Kya baat kar rahe ho? Podcast mein baat kar raha hoon. Achha, achha. Logon ko laazmi batana ke aap ko hamne office se uthaaya hai. Okay, okay, beda gar ke yaar. Thank you so much everyone, aaj hamare saath judne ke liye, InshaAllah, aap ke saath phir mulaqaat hogi next podcast mein, Allah Hafiz.

Frequently Asked Questions

Why is building a dream home so stressful in Pakistan?

Noor says parents spent a lifetime of hard work and savings to provide the house their children live in today, and building your own house now means meeting expectations that keep growing while budgets do not. Designers show dreams on Instagram and Pinterest, but those dreams are not within everyone's reach, and the gap between the dream and the budget is where the stress comes from.

Why is a three-marla house never designed by an architect?

Noor says a three-marla house is the lowest of the low cutting: its owner is building a house for the first time and will not spend money on a designer, because the culture says he will build it himself. The floor plans are all the same standard design: two rooms at the back, two bathrooms, a laundry area, a living area and a kitchen.

What is the story of the 15,000-rupee floor plan?

Khawar bhai came through a reference from Talha Shahid, and Noor quoted him 15,000 rupees for a floor plan. The market rate is around 250 to 300 rupees per square foot, which would have made it 80 to 90 lakh rupees, but Noor says he took 15,000 because that was very little and he would take whatever they gave. Khawar bhai saw the value and paid, because he knew he was paying for skill: knowing the dimensions, the software and how to explain it to a client.

What does Noor say about imposter syndrome?

He says it is the fear that you are not successful or that people will not consider you successful, even when you are surviving on your own skills. He did not face it himself because he was confident and left his jobs after five to six months to freelance, but he has counselled peers who did: do not listen to everyone, bring confidence, keep working and demand your worth, because you have the right to dream.

Why are small houses in Pakistani cities unlivable?

Noor says it is policy, not design. Three-marla houses are built in the standard way, but there are no rules and regulations and no one to enforce them, so everyone extends forward with slopes and cantilevers, streets get congested, sunlight disappears and gutters overflow. In New York, the city gives an incentive, an extra floor if you leave public space, but in Pakistan the policy framework exists and is simply not enforced.

Who is the guest in this episode?

Noorul Huda Khan, an architect and designer from Lahore. By profession he is an architect, and architects deal with the designing of the entire built environment, whether a house, urban design, an outdoor park or an interior. He works as a freelancer, mostly for foreign designers, and his final-year thesis was about building houses for people who cannot build houses.

Topics Discussed

What This Episode Covers

Find Your Clarity takes one big question and works through it. Here is what this conversation touches on.

Dream Home Stress Architecture and Design Housing in Pakistan Wedding Renovations Imposter Syndrome Policy and Encroachments Money and Expectations
Keep Listening

More From Muffled Minds Podcast